कलाम-ए-ह़क़ से शुरू’आत होने वाली है
क़लम उठा है रक़म ना’त होने वाली है
यहाँ कलीम है ग़श में बस एक तजल्ली से
वहाँ नबी की मुलाक़ात होने वाली है
यहाँ भी सिर्फ़ तेरा ज़िक्र है तेरा जल्वा
वहाँ भी सिर्फ़ तेरी बात होने वाली है
न उनके जैसा किसी को कमाल है हा़सिल
न उनके जैसी कोई ज़ात होने वाली है
ग़ुलाम-ए-शाह को होगी नसीब फ़त्ह़-ओ-ज़फ़र
‘अदू की ह़श्र तलक मात होने वाली है
सजी है ज़िक्र-ए-रसूल-ए-करीम की मह़फ़िल
समझ लो नूर की बरसात होने वाली है
मैं फिर सना-ए-मु’अज़्ज़म में हो गया मशग़ूल
बलंद फिर मेरी औक़ात होने वाली है
ख़ुदा को पेश किया हूँ वसीला-ए-अह़मद
क़बूल मेरी मुनाजात होने वाली है
शायर-ए-इस्लाम:
ह़ज़रत गु़लाम अह़मद रज़ा नेपाली
ना’त-ख़्वाॅं:
ह़ज़रत गु़लाम अह़मद रज़ा नेपाली
Kalaam-e-Haq se shuru’aat hone waali hai
Qalam utha hai, raqam na’at hone waali hai
Yahaan Kaleem hai ghash mein bas ek tajalli se
Wahan Nabi ki mulaqaat hone waali hai
Yahaan bhi sirf tera zikr hai, tera jalwa
Wahaan bhi sirf teri baat hone waali hai
Na unke jaisa kisi ko kamaal hai haasil
Na unke jaisi koi zaat hone waali hai
Ghulam-e-Shah ko hogi naseeb fath-o-zafar
‘Adu ki hashr talak maat hone waali hai
Saji hai zikr-e-Rasool-e-Kareem ki mehfil
Samajh lo noor ki barsaat hone waali hai
Main phir sana-e-Mu’azzam mein ho gaya mashghool
Buland phir meri auqaat hone waali hai
Khuda ko pesh kiya hoon waseela-e-Ahmed
Qabool meri munajaat hone waali hai
shayar-e-islam:
Hazrat Ghulam Ahmad Raza Nepali
Na’at-Khwan:
Hazrat Ghulam Ahmad Raza Nepali