शहर-ए-तै़यबा की तरफ़ लौ जो लगा जाते हैं | तेरी चौखट पे जो सर अपना झुका जाते हैं तज़मीऩ के साथ / Shahar-e-Taiba ki Taraf Lau Jo Laga Jate Hain | Teri Chokhat Pe Jo Sar Apna Jhuka Jate Hain With Tazmeen

शहर-ए-तै़यबा की तरफ़ लौ जो लगा जाते हैं
अपना सोया वो नसीबा को जगा जाते हैं
जिस तरफ़ जाते हैं वो खुशियाँ मना जाते हैं
तेरी चौखट पे जो सर अपना झुका जाते हैं
हर बुलंदी को वही नीचा दिखा जाते हैं

रहमत-ए-मौली बरसती हैं तो उनके ऊपर
ज़िक्र-ए-आक़ा जो किया करते हैं हर इक घर-घर
महफ़िल-ए-‘इश्क़ में सरकार की ना’तें पढ़ कर
डूबे रहते हैं तेरी याद में जो शाम-ओ-सहर
डूबतों को वही साहि़ल से लगा जाते हैं

यह ख़बर उनके लिए ऐ’लाॅं किया करती है
दिल में उल्फ़त की कली उनकी खिला करती है
आफ़त-ओ-रंज-ओ-मुसीबत से रहा करती है
सरफ़राज़ी-ए-अजल उनको मिला करती है
नख़्वत-ए-सर जो तेरे दर पे मटा जाते हैं

हा़सिदों तेरे जलाए न जलेंगे सुन ले
दुश्मनों तेरे घटाए न घटेंगे सुन ले
और भी तेरे छ़िड़ाए न छ़िड़ेंगे सुन ले
आसमाॅं तुझसे उठाए न उठेंगे सुन ले
हिज्र के सदमे जो ‘उश्शाक़ उठा जाते हैं

आफ़ी ज़र्रा तो वहाॅं का है मिसाल-ए-गौहर
देखता है जो शह-ए-वाला की क़ब्र-ए-अनवर
है अदब करना दर-ए-वाला का हर इंसाॅं पर
दश्त-ए-तैब्बा में नहीं कील का खटक़ा अख़्तर
नाज़ुक अंदाम वहाॅं बरहना पा जाते हैं

शायर-ए-इस्लाम:
ह़ज़रत हु़ज़ूर ताजुश्शरिया मुफ़्ती अख़्तर रज़ा ख़ान बरैलवी र.अ.

तज़मीन-निगार:
ह़ज़रत गु़लाम समदानी ‘आफ़ी क़ादरी

ना’त-ख़्वाॅं:
ह़ज़रत गु़लाम समदानी ‘आफ़ी क़ादरी


Shahar-e-Taiba ki taraf lau jo laga jaate hain
Apna soya wo naseeba ko jaga jaate hain
Jis taraf jaate hain wo khushiyan mana jaate hain
Teri chaukhat pe jo sar apna jhuka jaate hain
Har bulandi ko wahi neecha dikha jaate hain

Rehmat-e-Maula barasti hain to unke upar
Zikr-e-Aaqa jo kiya karte hain har ek ghar-ghar
Mahfil-e-‘ishq mein Sarkaar ki na’atein padh kar
Doobe rehte hain teri yaad mein jo shaam-o-sahar
Doobton ko wahi saahil se laga jaate hain

Yeh khabar unke liye ai’laan kiya karti hai
Dil mein ulfat ki kali unki khila karti hai
Aafat-o-ranj-o-museebat se raha karti hai
Sarfraazi-e-ajal unko mila karti hai
Nakhwat-e-sar jo tere dar pe mita jaate hain

Haasidon tere jalaae na jalenge sun le
Dushmanon tere ghataae na ghatenge sun le
Aur bhi tere chhidaae na chhidenge sun le
Aasmaan tujhse uthaaye na uthenge sun le
Hijr ke sadme jo ‘ushshaaq utha jaate hain

Aafi zarra to wahaan ka hai misaal-e-gauhar
Dekhta hai jo Shah-e-Waala ki qabr-e-anwar
Hai adab karna dar-e-waala ka har insaan par
Dasht-e-Taiba mein nahin keel ka khataka Akhtar
Naazuk andaam wahaan barahna paa jaate hain

shayar-e-islam:
Hazrat Huzoor Tajush Shari’a Mufti Akhtar Raza Khan Bareilvi (r.a.)

tazmeen-nigaar:
Hazrat Ghulam Samdani ‘Aafi Qadri

na’at-khwaan:
Hazrat Ghulam Samdani ‘Aafi Qadri