आ बताऊॅं तुझे क्या उनका गदा चाहता है
अपने जुर्मों की मदीना में सज़ा चाहता है
बादशाही का रखा जिस के भी सर पर है ताज
वो भी सरकार-ए-दो-‘आलम की ‘अता चाहता है
पा-ए-नाज़ अपना अब ऐ जान-ए-मसीहा़ रख दें
क़ल्ब-ए-मुज़तर मेरा बनने को हि़रा चाहता है
विर्द-ए-लब हर घड़ी हो उसके दुरूद-ए-अक़दस
ख़्वाब में करना जो दीदार-ए-हुदा चाहता है
अपने साइल का वो कश्कौल भरें और कहें
और भी क्या क्या बता उसके सिवा चाहता है
उनकी ‘उल्फ़त का दिया दिल में जलाए रख तो
बाग़-ए-फिरदौस अगर रौज़-ए-जज़ा चाहता है
ता के ग़िलमान-ओ-मलक आएं जनाज़े में मेरे
‘आलम-ए-ख़स्ता मदीना में क़ज़ा चाहता है
शायर-ए-इस्लाम:
ह़ज़रत मौह़म्मद ‘आलम तनवीरी बस्तवी
ना’त-ख़्वाॅं:
ह़ज़रत मौह़म्मद ‘आलम तनवीरी बस्तवी
Aa bataaun tujhe kya unka gada chaahta hai
Apne jurmon ki Madina mein saza chaahta hai
Badshaahi ka rakha jiske bhi sar par hai taaj
Wo bhi Sarkaar-e-do-‘aalam ki ‘ata chaahta hai
Paa-e-naaz apna ab ai jaan-e-Maseeha rakh dein
Qalb-e-muztar mera banne ko hira chaahta hai
Wird-e-lab har ghadi ho uske durood-e-aqdas
Khwaab mein karna jo deedar-e-Huda chaahta hai
Apne saaial ka wo kashkol bharein aur kahe
Aur bhi kya kya bata uske siwa chaahta hai
Unki ‘ulfat ka diya dil mein jalaaye rakh to
Baagh-e-Firdaus agar rauz-e-jaza chaahta hai
Ta ke gilmaan-o-malak aayein janaaze mein mere
‘Aalam-e-khasta Madina mein qaza chaahta hai
shayar-e-islam:
Hazrat Muhammad ‘Aalam Tanveeri Bastavi
Na’at-Khwan:
Hazrat Muhammad ‘Aalam Tanveeri Bastavi