जो नबी का गदा नहीं होता
उस का हर-गिज़ भला नहीं होता
मेरी बिगड़ी कभी नहीं बनती
गर करम आप का नहीं होता
गर न आते ह़ज़ूर ‘आलम में
कोई ‘आलम बना नहीं होता
बे-इजाज़त नबी-ए-रह़मत के
कोई रौशन दिया नहीं होता
इज़्न जिस को न दें ह़ज़ूर उसका
ख़ुल्द में दाख़िला नहीं होता
हिज्र-ए-तै़यबा का एक पल भी मेरे
दर्द दिल से जुदा नहीं होता
उन का मद्दाह़ जो भी है शारिक़
हा़ल उस का बुरा नहीं होता
शायर-ए-इस्लाम:
ह़ज़रत सय्यद शारिक़ ख़ालिदी
ना’त-ख़्वाॅं:
ह़ज़रत सय्यद शारिक़ ख़ालिदी
Jo Nabi ka gada nahin hota
Us ka har-giz bhala nahin hota
Meri bigdi kabhi nahin banti
Gar karam aap ka nahin hota
Gar na aate Huzoor ‘Aalam main
Koi ‘aalam bana nahin hota
Be-ijaazat Nabi-e-Rehmat ke
Koi roshan diya nahin hota
Izn jisko na dein Huzoor uska
Khuld main daakhila nahin hota
Hijr-e-Taiba ka ek pal bhi mere
Dard-e-dil se juda nahin hota
Unka maddah jo bhi hai Shariq
Haal uska bura nahin hota
shayar-e-islam:
Hazrat Sayyad Shariq Khalidi
Na’at-Khwan:
Hazrat Sayyad Shariq Khalidi