दिल से ख़याल-ए-गुंबद-ए-ख़ज़रा न जाएगा
वो लम्हा़ हाज़िरी का भुलाया न जाएगा
मैं हूँ दर-ए-रसूल का अदना-सा एक ग़ुलाम
उस दर पे सर झुका के उठाया न जाएगा
दुनिया में जानता हूँ तुझे तेरे प्यार को
मुझ को किसी फ़रेब में लाया न जाएगा
आल-ए-नबी का इसलिए देता हूँ वास्ता
जुज़ उन के मुस्तफ़ा को मनाया न जाएगा
जो घर सजा हो सरवर-ए-‘आलम की याद से
वो घर कभी किसी से जलाया न जाएगा
हो ख़ैर तेरी तेरे मदीने की या रसूल
क्या अब के मुझ को दर पे बुलाया न जाएगा
साक़ी तेरी निगाह से जिन को मिले हैं जाम
उन मैयकशों को होश में लाया न जाएगा
मैं दे चुका हूँ आप के हाथों में अपना हाथ
ग़ैरों की सिम्त हाथ बढ़ाया न जाएगा
क्या-क्या नहीं मिला मुझे मेरे करीम से
जो-जो करम हुआ है भुलाया न जाएगा
जिस में न ज़िक्र हो मेरे मदनी करीम का
उस बज़्म में मैं क्या, मेरा साया न जाएगा
छुटने न पाएगी कभी तारीकी-ए-ह़यात
जब तक चराग़-ए-‘इश्क़ जलाया न जाएगा
दीवाना जिस जगह पे भी बैठा है दोस्तों
मर जाएगा, किसी से उठाया न जाएगा
होगा न मेरे चारा-गरों से मेरा ‘इलाज
जब तक दर-ए-रसूल पे जाया न जाएगा
मर कर भी कम न होंगी कभी तेरी मुश्किलें
उन को जो दरमियान में लाया न जाएगा
जाॅं दे के भी हु़सैन ने साबित ये कर दिया
ग़ैरों के आगे सर ये झुकाया न जाएगा
नज़र-ए-करम हज़ूर की होगी न जब तलक
सोया हुआ नसीब जगाया न जाएगा
मुझ को मिला है ‘इश्क़-ओ-मोह़ब्बत का रास्ता
इस रास्ते से मुझ को हटाया न जाएगा
जो गिर पड़े नियाज़ी मोह़ब्बत की राह में
जुज़ मुस्तफ़ा किसी से उठाया न जाएगा
शायर-ए-इस्लाम:
ह़ज़रत अब्दुल-सत्तार नियाज़ी
ना’त-ख़्वाॅं:
ह़ज़रत अल्हा़ज यूसुफ़ मैमन
ह़ज़रत अल्हा़ज वसीम अब्बासी नक़्शबंदी
Dil se khayaal-e-Gumbad-e-Khazra na jaayega
Wo lamha haaziri ka bhulaaya na jaayega
Main hoon dar-e-Rasool ka adna sa ek ghulaam
Us dar pe sar jhuka ke uthaaya na jaayega
Duniya mein jaanta hoon tujhe tere pyaar ko
Mujh ko kisi fareb mein laaya na jaayega
Aal-e-Nabi ka is liye deta hoon waasta
Juz un ke Mustafa ko manaaya na jaayega
Jo ghar saja ho Sarwar-e-‘Aalam ki yaad se
Wo ghar kabhi kisi se jalaaya na jaayega
Ho khair teri tere Madine ki ya Rasool
Kya ab ke mujh ko dar pe bulaaya na jaayega
Saaqi teri nigaah se jin ko mile hain jaam
Un maikashon ko hosh mein laaya na jaayega
Main de chuka hoon aap ke haathon mein apna haath
Ghairon ki simt haath badhaaya na jaayega
Kya-kya nahin mila mujhe mere Kareem se
Jo-jo karam hua hai bhulaaya na jaayega
Jis mein na zikr ho mere Madni Kareem ka
Us bazm mein main kya, mera saaya na jaayega
Chhutne na paayegi kabhi tareeki-e-hayaat
Jab tak charaag-e-‘ishq jalaaya na jaayega
Deewana jis jagah pe bhi baitha hai dosto
Mar jaayega, kisi se uthaaya na jaayega
Hoga na mere chaara-garoon se mera ‘ilaaj
Jab tak dar-e-Rasool pe jaaya na jaayega
Mar kar bhi kam na hongi kabhi teri mushkilein
Un ko jo darmiyaan mein laaya na jaayega
Jaan de ke bhi Husain ne saabit ye kar diya
Ghairon ke aage sar ye jhukaaya na jaayega
Nazar-e-karam Huzoor ki hogi na jab talak
Soya hua naseeb jagaaya na jaayega
Mujh ko mila hai ‘ishq-o-mohabbat ka raasta
Is raaste se mujh ko hataaya na jaayega
Jo gir pade Niyazi mohabbat ki raah mein
Juz Mustafa kisi se uthaaya na jaayega
Shayar-e-islam:
Hazrat Abdul-Sattar Niyazi
Na’at-Khwan:
Hazrat Alhaaj Yusuf Memon
Hazrat Alhaaj Waseem Abbasi Naqshbandi