बेहरे-दीदार मुश्ताक़ है हर नज़र
दोनों आलम के सरकार आ जाइये
चाँदनी रात है और पिछला पहर
दोनों आलम के सरकार आ जाइये
सामने जल्वा-ग़र पैकरे-नूर हो
मुन्किरों का भी सरकार शक दूर हो
कर के तब्दील एक दिन लिबासे-बशर
दोनों आलम के सरकार आ जाइये
शामे-उम्मीद का अब सवेरा हुवा
सू-ए-तै़बा निग़ाहों में डेरा हुवा
बिछ गए राह में फ़र्शे-क़ल्बो-जिगर
दोनों आ़लम के सरकार आ जाइये
दिल का टूटा हुवा आबगीना लिए
शोला-ए-इश्क़ का तूर सीना लिए
कितने घायल खड़े है सरे-रहगुज़र
दोनों आ़लम के सरकार आ जाइये
सिदरतुल-मुन्तहा अर्श बागे-इरम
हर जगह पड़ चुके हैं निशाने-क़दम
अब तो एक बार अपने ग़ुलामों के घर
दोनों आ़लम के सरकार आ जाइये
आज महफ़िल में मह़बूब की धूम है
शाने-इज़्ज़ो-करम सबको मा’लूम है
यूं लुटाते हुवे रहमतों के गोहर
दोनों आ़लम के सरकार आ जाइये
शामे-ग़ुरबत है और शहर ख़ामौश है
एक अरशद अकेला कफ़न-पोश है
खौफ़ की है गड़ी वक़्त है पुर-ख़तर
दोनों आ़लम के सरकार आ जाइये
शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत अल्लामा अरशद क़ादरी
ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत ओवैस रज़ा क़ादरी
Behre-Deedar Mushtaq Hai Har Nazar
Donon aalam ke Sarkar aa jaaiye
Chaandni raat hai aur pichhla paher
Dono aalam ke Sarkar aa jaaiye
Saamne jalwa-gar paikare-noor ho
Munkiron ka bhi Sarkar shak door ho
Kar ke tabdeel ek din libaase-bashar
Dono aalam ke Sarkar aa jaaiye
Shaame-umeed ka ab savera huwa
Su-e-Taiba nigahon mein dera huwa
Bich gaye raah mein farshe-qalbo-jigar
Dono aalam ke Sarkar aa jaaiye
Dil ka toota huwa aabgeena liye
Shola-e-ishq ka Toor seena liye
Kitne ghayal khade hain sare-rahguzar
Dono aalam ke Sarkar aa jaaiye
Sidratul-Muntaha Arsh Baag-e-Iram
Har jagah pad chuke hain nishane-qadam
Ab to ek baar apne ghulaamon ke ghar
Dono aalam ke Sarkar aa jaaiye
Aaj mehfil mein Mahboob ki dhoom hai
Shaane-izzo-karam sabko maaloom hai
Yun lutaate hue rahmaton ke gohar
Dono aalam ke Sarkar aa jaaiye
Shaame-ghurbat hai aur shahar khaamosh hai
Ek Arshad akela kafan-posh hai
Khauf ki hai ghadi waqt hai pur-khatar
Dono aalam ke Sarkar aa jaaiye
Shayare-Islam:
Hazrat Allama Arshad Qadri
Na’at-Khwan:
Hazrat Owais Raza Qadri