तेरी जालियों के नीचे तेरी रहमतों के साए / Teri Jaliyon Ke Niche Teri Rehmaton Ke Saaye

तेरी जालियों के नीचे तेरी रह़मतों के साए
जिसे देखनी हो जन्नत वो: मदीना देख आए

न ये बात शान से है न ये बात मालो-ज़र की
वही जाता है मदीने आक़ा जिसे बुलाए

कैसी वहां की रातें कैसी वहां की बातें
उन्हें पूछ लो नबी का जो मदीना देख आए

रौज़े के सामने मैं ये दुआएं मांगता था
मेरा दम निकल तो जाए ये समां बदल न जाए

तै़बा के जाने वाले तुझे देता हूं सदाएं
दरे-मुस्त़फ़ा पे जा के तू जहाँ को भूल जाए

लो चला हूं मैं लह़द में मेरे मुस्त़फ़ा से कह दो
के हवा तेरी गली की मुझे छोड़ ने को आए

वो: ज़हूरी यार मेरा वो: ही ग़म-गुसार मेरा
मेरी क़ब्र पर जो आ के ना’ते-नबी सुनाए

शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत मुह़म्मद अ़ली ज़हूरी

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत असद रज़ा अ़त्तारी


Teri Jaliyon Ke Niche Teri Rehmaton Ke Saaye
Jise dekhni ho jannat woh Madina dekh aaye

Na ye baat shaan se hai na ye baat maalo-zar ki
Wohi jaata hai Madine Aaqa jise bulaaye

Kaisi wahan ki raatein kaisi wahan ki baatein
Unhen pooch lo Nabi ka jo Madina dekh aaye

Rauze ke samne main ye duaaen maangta tha
Mera dam nikal to jaaye ye sama badal na jaaye

Taiba ke jaane wale tujhe deta hoon sadaayein
Dare-Mustafa pe ja ke tu jahan ko bhool jaaye

Lo chala hoon main lahd mein mere Mustafa se keh do
Ke hawa teri gali ki mujhe chhodne ko aaye

Woh Zahoori yaar mera woh hi gham-gusaar mera
Meri qabr par jo aa ke na’ate-Nabi sunaaye

Shayare-Islam:
Hazrat Muhammad Ali Zahoori

Na’at-Khwan:
Hazrat Asad Raza Attari