हम क्यों न करें इ़श्क़ का इज़हार बड़े पीर | सरकार बड़े पीर / Ham Kyun Na Karein Ishq Ka Izhaar Bade Peer | Sarkar Bade Peer

हम क्यों न करें इ़श्क़ का इज़हार बड़े पीर

तुम से है ग़ुलामों को बहुत प्यार बड़े पीर

आक़ा की इनायत ने तुम्हें ऐसा संवारा
कुछ ऐसा संवारा
मुर्दे की तरफ़ जाता है जब हु़क्म तुम्हारा
जब हुक्म तुम्हारा
वो: क़ब्र में हो जाता है बेदार बड़े पीर

अपनों की तरह ग़ैर पे करते हैं करम आप
करते हैं करम आप
गर्दन पे सभी वलियों के रखते हैं क़दम आप
रखते हैं क़दम आप
ऊंचा है बहुत आप का मै’यार बड़े पीर

रुख़्सारे-पुर-अनवार का दीदार करा दो
दीदार करा दो
हम आशिक़े-बग़दाद हैं बग़दाद दिखा दो
बग़दाद दिखा दो
हो जाएं सभी हाज़िरे-दरबार बड़े पीर

मैख़ाना-ए-बग़दाद का मतवाला बना दो
मतवाला बना दो
एक जाम मुझे अपनी निगाहों से पिला दो
निगाहों से पिला दो
मैं भी तो एक क़ादरी मैखा़र बड़े पीर

शायरे-इस्लाम:
अज्ञात

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत नदीम रजा़ फै़जी़


Ham kyun na karein ishq ka izhaar Bade Peer

Tum se hai ghulamon ko bahut pyaar Bade Peer

Aaqa ki inayat ne tumhe aisa sanwaara
Kuch aisa sanwaara
Murde ki taraf jaata hai jab hukm tumhara
Jab hukm tumhara
Woh qabr mein ho jaata hai bedaar Bade Peer

Apno ki tarah gair pe karte hain karam aap
Karte hain karam aap
Gardan pe sabhi waliyon ke rakhte hain qadam aap
Rakhte hain qadam aap
Ooncha hai bahut aap ka maiyaar Bade Peer

Rukhsaare-pur-anwaar ka deedaar kara do
Deedaar kara do
Ham aashiqe-Baghdad hain Baghdad dikha do
Baghdad dikha do
Ho jaayein sabhi haazire-darbaar Bade Peer

Maikhana-E-Baghdad ka matwaala bana do
Matwaala bana do
Ek jaam mujhe apni nigaahon se pila do
Nigaahon se pila do
Main bhi to ek Qadri maikhaar Bade Peer

Shayare-Islam:
Unknown

Na’at-Khwan:
Hazrat Nadeem Raza Faizi