चलते सितम के तीर हैं या ग़ौस अल-मदद
हम आप के असीर हैं या ग़ौस अल-मदद
दरबार के फ़क़ीर हैं या ग़ौस अल-मदद
पीरों के आप पीर हैं या ग़ौस अल-मदद
अहले-सफ़ा के मीर हैं या ग़ौस अल-मदद
तेरी निराली शान है ऐ इफ़्तिख़ारे-पीर
तेरे ही दम से टलते हैं रंजो-अलम कसीर
कहते हैं बा-अदब ये दरे-पाक के फ़क़ीर
तेरे ही हाथ लाज है या पीर दस्तगीर
हम तुझ से दस्तगीर हैं या ग़ौस अल-मदद
है आलीशान तुम्हारी शहा ज़ाते-इर्तिका़
है फ़ैज़याब तुम से ज़माने के औलिया
सुल्ताने-हिंद और कोई अह़मद रज़ा हुआ
अहले-सफ़ा ने पाई है तुम से रहे-सफ़ा
सब तुम से मस्तनीर हैं या ग़ौस अल-मदद
दुनिया में हर सू ज़ुल्मो-तशद्दुद है बे-गुमां
कर दो करम ग़ुलाम क्या करते हैं फ़गां
हम पर दो तान अपनी इ़नायत का सायबां
किस दिल से हो बयान बे-दाद ज़ालिमां
ज़ालिम बड़े शरीर हैं या ग़ौस अल-मदद
रंजो-अलम की ज़द में हैं कब से निकाल दो
हम को भी अपना सदक़ा-ए-रू-ए-जमाल दो
हम बे-हुनर को कोई तो फ़न-ओ-कमाल दो
सदक़ा रसूले-पाक का झोली में डाल दो
हम क़ादरी फ़क़ीर हैं या ग़ौस अल-मदद
मशकिल-कुशाई करते हो मुश्किल-कुशा कहें
बर्जस्ता क्यों न क़ाति-ए-रंजो-बला कहें
फ़रियाद अपने दिल की तुम ही से शहा कहें
हम कैसे जी रहे हैं ये तुम से क्या कहें
हम हैं अलम के तीर हैं या ग़ौस अल-मदद
लिखूं तो क्या लिखूं मैं भला उनकी शान में
है ज़िक्रे-ह़क़ की चाशनी जिन के बयान में
आ़फ़ी है जिन का शौहरा ज़मीं आसमान में
दिल की सुनाए अख़्तर दिल की ज़ुबान में
कहते ये बहते नीर हैं या ग़ौस अल-मदद
शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत हु़ज़ूर ताजुश्शरिया मुफ़्ती अख़्तर रज़ा ख़ान बरैलवी र.अ.
तज़मीन-निगार:
ह़ज़रत ग़ुलाम समदानी आ़फ़ी क़ादरी
Chalte sitam ke teer hain ya Ghaus al-Madad
Ham aap ke aseer hain ya Ghaus al-Madad
Darbar ke faqeer hain ya Ghaus al-Madad
Peeron ke aap peer hain ya Ghaus al-Madad
Ahle-safa ke meer hain ya Ghaus al-Madad
Teri niraali shaan hai ai iftikhaare-Peer
Tere hi dam se talte hain ranjo-alam kaseer
Kahte hain ba-adab ye dare-Pak ke faqeer
Tere hi haath laaj hai ya peer dastgeer
Hum tujh se dastgeer hain ya Ghaus al-Madad
Hai aalishaan tumhari shaha zaate-irtika
Hai faizyaab tum se zamane ke auliya
Sultane-Hind aur koi Ahmad Raza hua
Ahle-safa ne paai hai tum se rahe-safa
Sab tum se mastneer hain ya Ghaus al-Madad
Duniya mein har soo zulmo-tashaddud hai be-gumaan
Kar do karam ghulaam kya karte hain fgaan
Hum par do taan apni inayat ka saayban
Kis dil se ho bayaan be-dad zalimaan
Zalīm bade shareer hain ya Ghaus al-Madad
Ranjo-alam ki zad mein hain kab se nikaal do
Hum ko bhi apna sadqa-e-ru-e-jamaal do
Hum be-hunar ko koi to fan-o-kamaal do
Sadqa Rasoole-Paak ka jholi mein daal do
Ham Qadri faqeer hain ya Ghaus al-Madad
Mashkil-kushaai karte ho mushkil-kusha kahen
Barjasta kyun na qati-e-ranjo-bala kahen
Fariyaad apne dil ki tum hi se shaha kahen
Hum kaise jee rahe hain ye tum se kya kahen
Hum hain alam ke teer hain ya Ghaus al-Madad
Likhoon to kya likhoon main bhala unki shaan mein
Hai zikre-haqq ki chashni jin ke bayan mein
Aafi hai jin ka shohra zameen aasmaan mein
Dil ki sunaye Akhtar dil ki zubaan mein
Kahte ye bahte neer hain ya Ghaus al-Madad
Shayare-Islam:
Hazrat Huzoor Tajushsharia Mufti Akhtar Raza Khan Barelvi R.A.
Tazmeen-Nigar:
Hazrat Ghulam Samdani Aafi Qadri