इश्क़ो-वफ़ा ख़ुलूस के इज़हार के सबब
जाऊंगा ख़ुल्द उल्फ़ते-सरकार के सबब
बहरे-बला में मेरा गुज़र ख़ैर से हुआ
उनके करम की ज़र्ब असरदार के सबब
इ़ज़्ज़तो-वक़ार मिलता है जो बेटियों को आज
मुमकिन हुआ ये आमदे-सरकार के सबब
रंजो-अ़लम में दिल को मिला करता है सुकून
बुर्दा-शरीफ़ के हसीं अशआ़र के सबब
अस्हाब को मिली है जो आलाम से निज़ात
रू-ए-रसूले-पाक के दीदार के सबब
शम्सो-क़मर में देख रहे हैं जो हम चमक
हासिल शरफ़ ये है तेरे पीज़ार के सबब
रब के हुज़ूर बख़्शा में जाऊंगा ह़श्र में
आ़फ़ी सना-ए-सय्यिदे-अबरार के सबब
शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत ग़ुलाम समदानी आ़फ़ी क़ादरी
Ishqo-wafa khuloos ke izhaar ke sabab
Jaunga Khuld ulfat-e-Sarkar ke sabab
Bahre-bala mein mera guzar khair se hua
Unke karam ki zarb asardar ke sabab
Izzato-waqar milta hai jo betiyon ko aaj
Mumkin hua ye aamde-Sarkar ke sabab
Ranjo-alam mein dil ko mila karta hai sukoon
Burda-sharif ke haseen ashAar ke sabab
Ashab ko mili hai jo aalam se nijaat
Ru-e-Rasoole-Pak ke didaar ke sabab
Shamso-qamar mein dekh rahe hain jo ham chamak
Haasil sharaf ye hai tere peezar ke sabab
Rab ke huzoor bakhsha mein jaunga hashr mein
Aafi sana-e-Sayyade-Abrar ke sabab
Shayare-Islam:
Hazrat Ghulam Samdani Aafi Qadri