बेटियों की सोई क़िस्मत को संवारा आप ने
ज़ालिमों के ज़ुल्म को जड़ से मिटाया आप ने
डूबा सूरज फिर गया और चांद दोबारा हुआ
कर दिया जिस दम शहे-बत़हा़ इशारा आप ने
दहर में तशरीफ़ ला कर सय्यदे-कौने-मकां
कर दिया तौही़द का हर सू उजाला आप ने
बद्र के मैदान में दस्ते-नुबुव्वत से शहा
छू के चोब-ए-ख़ुश्क को ख़ंजर बनाया आप ने
ख़त्म करके बीज नफ़रत का ज़मीने-क़ल्ब से
प्यारो-उल्फ़त का हंसीं पौधा लगाया आप ने
जलवा-गर हो कर सहारा बे-सहारों को दिया
नातवानो को कलेजे से लगाया आप ने
जब चला सू-ए-दरे-जाना हमें ले कर जुनूं
हसरतें कहती हैं हम को किस पे छोड़ा आप ने
काब बिन मालिक दरख़्शां हो गए मिस्ले-क़मर
जब गदा अपना उन्हें आक़ा बनाया आप ने
शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत ग़ुलाम समदानी आफ़ी क़ादरी
Betiyon ki soyi qismat ko sanwara aap ne
Zalimon ke zulm ko jad se mitaya aap ne
Dooba sooraj phir gaya aur chaand dobara hua
Kar diya jis dam Shahe-Batha ishaara aap ne
Dahr mein tashreef la kar Sayyide-Kauno-Makaan
Kar diya tauheed ka har soo ujala aap ne
Badr ke maidan mein daste-nubuwwat se shaha
Chhu ke choba-e-khushk ko khanjar banaya aap ne
Khatm karke beej nafrat ka zameene-qalb se
Pyaaro-ulfat ka haseen paudha lagaya aap ne
Jalwa-gar ho kar sahara be-saharon ko diya
Naatwaanon ko kaleje se lagaya aap ne
Jab chala suu-e-dare-jaana hamein le kar junoon
Hasratein kehti hain hum ko kis pe chhoda aap ne
Kaab bin Malik darakhshaan ho gaye misle-qamar
Jab gada apna unhein aaqa banaya aap ne
Shayare-islam:
Hazrat Ghulam Samdani Aafi Qadri