मालो-दौलत की नहीं हिर्स उधर जाने दे | अपनी रहमत के समंदर में उतर जाने दे तज़मीन के साथ / Maalo-Daulat Ki Nahin Hirs Udhar Jaane De | Apni Rehmat Ke Samandar Mein Utar Jaane De With Tazmeen

मालो-दौलत की नहीं हिर्स उधर जाने दे
दिल की ख़्वाहिश है बड़ी तै़बा नगर जाने दे
जा के सरकार के क़दमों में संवर जाने दे
अपनी रहमत के समंदर में उतर जाने दे
बेठिकाना हू अज़ल से मुझे घर जाने दे

दुनियवी बात बहुत साथ दिया है तेरा
या’नी जज़्बात बहुत साथ दिया है तेरा
हम ने दिन-रात बहुत साथ दिया है तेरा
ख़्वाहिशे-ज़ात बहुत साथ दिया है तेरा
अब जिधर मेरे मुहम्मद हैं उधर जाने दे

मुस्तफ़ा आप के नौकर को दरे-जन्नत पर
तूती-ए-नग़्मा-ए-सरवर को दरे-जन्नत पर
जाने दे आफ़ी-ए-अहक़र को दरे-जन्नत पर
रौक रिज़वां न मुज़फ़्फ़र को दरे-जन्नत पर
ये मुह़म्मद का है मंज़ूरे-नज़र जाने दे

शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत मुज़फ़्फ़र वारसी

तज़मीन-निगार:
ह़ज़रत ग़ुलाम समदानी आ़फ़ी क़ादरी


Maalo-daulat ki nahin hirs udhar jaane de
Dil ki khwahish hai badi Taiba nagar jaane de
Ja ke Sarkar ke qadmon mein sanwar jaane de
Apni rehmat ke samandar mein utar jaane de
Bethikana ho azal se mujhe ghar jaane de

Dunyavi baat bahut saath diya hai tera
Ya’ni jazbaat bahut saath diya hai tera
Hum ne din-raat bahut saath diya hai tera
Khwahishe-zaat bahut saath diya hai tera
Ab jidhar mere Muhammad hain udhar jaane de

Mustafa aap ke naukar ko dare-Jannat par
Tuti-e-naghma-e-Sarwar ko dare-Jannat par
Jaane de Aafi-e-Ahqar ko dare-Jannat par
Rok Rizwan na Muzaffar ko dare-Jannat par
Ye Muhammad ka hai manzoore-nazar jaane de

Shayare-Islam:
Hazrat Muzaffar Warsi

Tazmeen-Nigar:
Hazrat Ghulam Samdani Aafi Qadri