सर से रंजो-अ़लम मिटाया कर / Sar Se Ranjo-Alam Mitaya Kar

सर से रंजो-अ़लम मिटाया कर
नामे-सरकार का वज़ीफ़ा कर

सुरख़ुरूई का है अगर त़ालिब
छोड़ दुनिया को फ़िक्रे-उ़क़्बा कर

तेरी मक़बूल बंदगी होगी
राहे-हक़ में अगर तू सदक़ा कर

मैं भी तेरे दयार को देखूं
तू करम मुझ पे बहरे-मौला कर

आ’ला हज़रत का थाम ले दामन
अपना महफ़ूज़ फिर अ़क़ीदा कर

याद आएगी रब तआ़ला की
रू-ए-अख़्तर रज़ा को देखा कर

पढ़ के सल्ले अला उठा ख़ामा
ना’त कहने का जब इरादा कर

पढ़ के तू आयते-क़लामे-ख़ुदा
नेकियां आफ़ी यूं मुह़य्या कर

शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत ग़ुलाम समदानी आफ़ी क़ादरी


Sar Se Ranjo-Alam Mitaya Kar
Name-Sarkar ka wazeefa kar

Surkhurooi ka hai agar taalib
Chhod duniya ko fikre-ukba kar

Teri maqbool bandagi hogi
Rahe-haq mein agar tu sadqa kar

Main bhi tere dayar ko dekhun
Tu karam mujh pe bahre-Maula kar

Aala Hazrat ka thaam le daaman
Apna mehfooz phir aqeeda kar

Yaad aayegi Rab ta’ala ki
Roo-e-Akhtar Raza ko dekha kar

Padh ke salle ala utha khama
Naat kehne ka jab irada kar

Padh ke tu aayate-Qalame-Khuda
Nekiyaan Aafi yun muhayya kar

Shayare-Islam:
Hazrat Ghulam Samdani Aafi Qadri