क्या ही बख़्ते-आवर है वो: इंसान जान
आप के दर का है जो दरबान जान
ख़ुद है वासिफ़ आप का क़ुरआन जान
क्या बयां हो आप की फिर शान जान
काश तै़बा का सफ़र हो और मुझे
मौत आए ना’त के दौरान जान
सुन के क़ुरआने-मुक़द्दस आप से
हैं फ़सीहाने-अरब हैरान जान
जो तुम्हारी बारगाह में हो क़ुबूल
वो: लिखूं मैं ना’तिया दीवान जान
रूह निकले आप के दरबार में
बस यही है दिल में एक अरमान जान
रोज़े-मह़शर ख़ुल्द में वो: जाएगा
आप पर ले आया जो ईमान जान
जो न माने आप के फ़रमान को
है वही सबसे बड़ा नादान जान
बा-अदब करता रहे आफ़ी सना
काश हो बख़्शिश का ये सामान जान
शायरे-इस्लाम:
ह़ज़रत ग़ुलाम समदानी आफ़ी क़ादरी
Kya Hi Bakhte-Aawar Hai Woh Insaan jaan
Aap ke dar ka hai jo darbaan jaan
Khud hai Waseef aap ka Quran jaan
Kya bayaan ho aap ki phir shaan jaan
Kaash Taiba ka safar ho aur mujhe
Maut aaye na’at ke dauraan jaan
Sun ke Qurane-muqaddas aap se
Hain faseehane-Arab hairaan jaan
Jo tumhari bargah mein ho qubool
Wo: likhun main naatiya diwan jaan
Rooh nikle aap ke darbaar mein
Bas yehi hai dil mein ek armaan jaan
Rauze-Mahshar Khuld mein woh jaayega
Aap par le aaya jo imaan jaan
Jo na maane aap ke farman ko
Hai wahi sabse bada naadaan jaan
Ba-adab karta rahe Aafi sana
Kaash ho bakhshish ka ye samaan jaan
Shayare-Islam:
Hazrat Ghulam Samdani Aafi Qadri