ये महकी महकी सी तेरी सुबहें यह तेरी शाम गुलाबी
शहरे-नबी शहरे-नबी
ये ठंडी ठंडी सी धूप तेरी है चांदनी में नहाई
शहरे-नबी शहरे-नबी
हसीनो-चमकदार कितना किया है
तुझे रब ने गुलज़ार कितना किया है
तू महबूब महबूबे-रब्बुल-उ़ला है
नबी ने तुझे प्यार कितना किया है
ज़रा सहारा दे हौसलों को बड़ी है तेरी जुदाई
शहरे-नबी शहरे-नबी
वहां का मैं क्या ज़िक्र तुमको सुनाऊं
मदीना है क्या तुमको कैसे बताऊं
कहां से भला ऐसे अल्फ़ाज़ लाऊं
के मह़सूस तुम को मैं कैसे कराऊं
वहां न दुनिया न दुनिया वाले न दुनिया की है बुराई
शहरे-नबी शहरे-नबी
जिसे देखते ही मचल जाएं आंखें
के आंखें ये फिर देखना कुछ न चाहें
वो: आक़ा की गलियां वो: जन्नत की राहें
जो आ़शिक़ को दें रह़मतों की पनाहें
वहां के क़िस्से तुम्हें सुनाऊं मैं कैसे अपनी ज़ुबानी
शहरे-नबी शहरे-नबी
अभी भी नज़र में वो: मंज़र है ताज़ा
वो: हर एक ज़ाइर वो: हर एक चेहरा
वो: एक दूसरे से लिपटता सिसकता
वो: हर कोई बस में तड़पता बिलकता
वो: वापसी पर जो रास्ते भर बहे हैं आखों से पानी
शहरे-नबी शहरे-नबी
ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत मुह़म्मद अ़ली फै़ज़ी
Ye mehki mehki si teri subhein ye teri shaam gulaabi
Shehre-Nabi Shehre-Nabi
Ye thandi thandi si dhoop teri hai chaandni mein nahaai
Shehre-Nabi Shehre-Nabi
Haseeno-chamakdaar kitna kiya hai
Tujhe Rab ne gulzaar kitna kiya hai
Tu Mahboob Mahboobe-Rabbul-Ula hai
Nabi ne tujhe pyaar kitna kiya hai
Zara sahaara de hauslon ko badi hai teri judai
Shehre-Nabi Shehre-Nabi
Wahan ka main kya zikr tumko sunaaoon
Madina hai kya tumko kaise bataaoon
Kahan se bhala aise alfaaz laaoon
Ke mehsoos tum ko main kaise karaoon
Wahan na duniya na duniya waale na duniya ki hai buraai
Shehre-Nabi Shehre-Nabi
Jise dekhte hi machal jaayein aankhein
Ke aankhein ye phir dekhna kuch na chahein
Woh Aaqa ki galiyan woh jannat ki raahein
Jo aashiq ko den rahmaton ki panaahein
Wahan ke qisse tumhe sunaaoon main kaise apni zubaani
Shehre-Nabi Shehre-Nabi
Abhi bhi nazar mein woh manzar hai taaza
Woh har ek zaair woh har ek chehra
Woh ek doosre se lipatTa sisakTa
Woh har koi bus mein tadapTa bilakTa
Woh waapsi par jo raaste bhar bahe hain aankhon se paani
Shehre-Nabi Shehre-Nabi
Na’at-Khwan:
Hazrat Muhammad Ali Faizi