अदब सीने में है आंखों में रौज़ा ग़ौसे-आज़म का / Adab Seene Mein Hai Aankhon Mein Rauza Ghause-Aazam ka

अदब सीने में है आंखों में रौज़ा ग़ौसे-आ’ज़म का
मैं पढ़ने जा रहा हूं अब क़सीदा ग़ौसे-आ’ज़म का

उन्हीं की दस्तगीरी है कि मैं टूटा नहीं अब तक
संभाला है मुझे भी नाम वाला ग़ौसे-आ’ज़म का

मुअर्रिख़ से कहो सोने के पानी से लिखो इसको
ज़मानों में ज़माना है सुनहरा ग़ौसे-आ’ज़म का

हथेली पर है राई की तरह इतनी बड़ी दुनिया
इशारा पा के जी उठता है मुरदा ग़ौसे-आ’ज़म का

वली जिस का क़दम सर पर उठा कर फ़ख़्र करते हैं
विलायत पर है अब भी राज़ किस का ग़ौसे-आ’ज़म का

सदा देने पर एक तसवीर आती है तसव्वुर में
ख़्याले-अक्स है या है ये चेहरा ग़ौसे-आ’ज़म का

मुबारक बादियां दो ग्यारहवीं का चांद निकला है
निराली शान वाला है महीना ग़ौसे-आ’ज़म का

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत ग़ुलाम नूरे-मुजस्सम


Adab Seene Mein Hai Aankhon Mein Rauza Ghause-Aa’zam ka
Main padhne ja raha hoon ab Qaseeda Ghause-Aa’zam ka

Unhi ki dastageeri hai ke main toota nahin ab tak
Sambhaala hai mujhe bhi naam wala Ghause-Aa’zam ka

MuArrikh se kaho sone ke paani se likho isko
Zamaano mein zamaana hai sunhara Ghause-Aa’zam ka

Hatheli par hai raai ki tarah itni badi duniya
Ishaara pa ke jee uthta hai murda Ghause-Aa’zam ka

Wali jis ka qadam sar par utha kar fakhr karte hain
Wilaayat par hai ab bhi raaz kis ka Ghause-Aa’zam ka

Sada dene par ek tasveer aati hai tasavvur mein
Khayaale-aks hai ya hai ye chehra Ghause-Aa’zam ka

Mubarak baadiyan do Gyarhveen ka chaand nikla hai
Niraali shaan wala hai mahina Ghause-Aa’zam ka

Na’at-Khwan:
Hazrat Ghulam Noore-Mujassam