WhatsApp Join Naat Group

दुश्वार रास्ते हैं सुन-सान गौ़से आ़ज़म / Dushwaar raaste hain sun-saan Gause Aazam

दुश्वार रास्ते हैं सुन-सान गौ़से आ़ज़म
कर दीजिए मेरी मुश्किल आसान गौ़से आ़ज़म

है आरज़ू ये मेरी एक रौज़ मेरे घर में
आ जाएं आप बनकर मेहमान गौ़से आ़ज़म

बग़दादी का़इ़दा भी मैं आप ही से पढ़ता
और आप ही से पड़ता कु़रआन गौ़से आ़ज़म

मां बाप दादा दादी भाई बहन भतीजा
हम सब पे आपका है एहसान गौ़से आ़ज़म

जो क़ादरी हैं आए जन्नत के सम्त जाए
मह़शर के रौज़ होगा ऐ’लान गौ़से आ़ज़म

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत अ़ज़मत रज़ा भागलपुरी


Dushwaar raaste hain sun-saan Gause Aazam
Kar dijiye meri mushkil aasaan Gause Aazam

Hai aarzoo ye meri ek roz mere ghar mein
Aa jaye aap bankar mehmaan Gause-Aazam

Baghdadi qaida bhi main aap hi se padhta
Aur aap hi se padhta QurAan Gause-Aazam

Maa baap dada dadi bhai bahan bhatija
Ham sab pe aapka hai ehsan Gause-Aazam

Jo Qadri hain aaye jannat ke samt jaaye
Mahshar ke roz hoga E’laan Gause-Aazam

Na’at-Khwan:
Hazrat Azmat Raza Bhagalpuri