WhatsApp Join Naat Group

मुझे मुस्त़फा़ के दर से भला क्या मिला नहीं है / Mujhe Mustafa ke dar se bhala kya mila nahin hai

मुझे मुस्त़फा़ के दर से भला क्या मिला नहीं है
मैं गु़लामे-मुस्त़फा़ हूं मेरे पास क्या कमी है

यूं ही ना’त पढ़ते पढ़ते किसी दिन निकल पड़ूंगा
मेरे वास्ते मदीना कोई मसअला नहीं है

आया जब भी कोई मंगता उसे पेट भर खिलाया
कई दिन से घर में चूल्हा अ़ली का जला नहीं है

यह हु़सैन ही का सर है यह हु़सैन का है सज्दा
जो झुका है कर्बला में अभी तक उठा नहीं है

यही कह रही है असग़र के लबों की मुस्कुराहट
वहां जिंदगी नहीं है जहां कर्बला नहीं है

अरे बे-ख़बर यजी़दी तुझे कुछ पता नहीं है
वो: नहीं है मुस्त़फा़ का जो हु़सैन का नहीं है

जो था अहले-ह़क़ का मसलक वही है रज़ा का मसलक
यह तुम्हारा झट-पटाना किसी काम का नहीं है

यूं ही आतिशे-ह़सद में जलो तुम ह़मेशा हा़सिद
क्या मका़मे-अज़हरी है तुम्हें कुछ पता नहीं है

यह है रौज़े-ह़श्र ज़मज़म यहां है अजीब आलम
कोई आदमी किसी को यहां पूछता नहीं है

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत ज़मज़म फतेहपुरी


Mujhe Mustafa ke dar se bhala kya mila nahin hai
Main ghulame-Mustafa hoon mere paas kya kami hai

Yun hi na’at padhte padhte kisi din nikal padunga
Mere waste Madina koi masla nahin hai

Aaya jab bhi koi mangta use pet bhar khilaya
Kai din se ghar mein chulha Ali ka jala nahin hai

Yeh Hussain hi ka sar hai yeh Hussain ka hai sajda
Jo jhuka hai Karbala mein abhi tak utha nahin hai

Yahi keh rahi hai Asghar ke labon ki muskurahat
Wahan zindagi nahin hai jahan Karbala nahin hai

Are be-khabar Yazeedi tujhe kuch pata nahin hai
Woh nahin hai Mustafa ka jo Hussain ka nahin hai

Jo tha Ahle-Haq ka maslak wahi hai Raza ka maslak
Yeh tumhara jhat-patana kisi kaam ka nahin hai

Yun hi aatishe-hasad mein jalo tum hamesha haasid
Kya maqaame-Azhari hai tumhe kuch pata nahin hai

Yeh hai rauze-hashr Zamzam yahan hai ajeeb aalam
Koi aadmi kisi ko yahan poochta nahin hai

Na’at-Khwan:
Hazrat Zamzam Fatehpuri