WhatsApp Join Naat Group

मीठा मीठा सा जो यह दर्दे-जिगर रहता है / Meetha Meetha Sa Jo Yeh Darde-Jigar Rehta Hai

मीठा मीठा सा जो यह दर्दे-जिगर रहता है
इश्क़े-सरकारे-मदीना का असर रहता है

खेलते हैं वो: कभी और कभी तोड़ते हैं
हर घड़ी उनके इशारे पर क़मर रहता है

जु़ल्म का हाथ उठेगा नहीं कमज़ोरों पर
सख़्त का़नून है तै़बा में उ़मर रहता है

मौत के बा’द का अंजाम नहीं जब मा’लूम
क्यों ग़लत फ़हमी में आखि़र यह बशर रहता है

गौ़से-आ़जम की हि़मायत का है पंजा जिस पर
हां बरैली में वही शेरे-बबर रहता है

ना’त सरकार की आसान नहीं है ता़हिर
तेग़ की धार पे हर दम यह हुनर रहता है

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत ता़हिर रज़ा रामपुरी


Meetha Meetha Sa Jo Yeh Darde-Jigar Rehta Hai
Ishqe-Sarkare-Madina Ka Asar Rehta Hai

Khelte Hain Woh Kabhi Aur Kabhi Todte Hain
Har Ghadi Unke Ishare Par Qamar Rehta Hai

Zulm Ka Haath Uthega Nahi Kamzoron Par
Sakht Qanoon Hai Taiba Mein Umar Rehta Hai

Maut Ke Baad Ka Anjaam Nahi Jab Ma’loom
Kyun Ghalat Fahmi Mein Aakhir Yeh Bashar Rehta Hai

Ghouse-Azam Ki Himayat Ka Hai Panja Jis Par
Haan Bareilly Mein Wahi Sher-e-Babr Rehta Hai

Naat Sarkar Ki Aasaan Nahi Hai Tahir
Tegh Ki Dhaar Pe Har Dam Yeh Hunar Rehta Hai

Na’at-Khwan:
Hazrat Tahir Raza Rampuri