WhatsApp Join Naat Group

ज़हरा के हैं दो नैंन हसनैन करीमैन / Zahra Ke Hain Do Nain Hasnain Karimain By Gulfam Raza Hassani

मुम्ताज़ में हो जाऊं सरताज मैं कह लाऊं
ऐं काश जो कि़स्मत से कभी सर पे जौ रख आऊं
मैं आपकी ना’लैन, हसनैन करीमैन

ज़हरा के हैं दो नैंन हसनैन करीमैन

सजदा भी नबी जिनके लिए तूल है फरमाएं
वो: कौन है जिनके लिए जन्नत से लिबास आए
वो: कौन है सिब्तैन, हसनैन करीमैन

ज़हरा के हैं दो नैंन हसनैन करीमैन

मौला ने बनाया है उन्हें ऐसा वो: ऐसे हैं
जो शक्ल में सूरत में नबी पाक के जैसे हैं
नाना के है नूर-ऐंन, हसनैन करीमैन

ज़हरा के हैं दो नैंन हसनैन करीमैन

है नक्श वो: दिल जिनपे सादात की उल्फ़त के
हां अस्ल में वो: ही तो हक़दार है जन्नत के
उन्हीं के तो हैं दारैन, हसनैन करीमैन

ना’त-ख़्वां:
हज़रत गुलफा़म रजा़ ह़स्सानी

Mumtaz mein ho jaun sartaaj main keh laun
Aye kaash jo kismat se kabhi sar pe jau rakh aun
Main aapki na’Alain, Hasnain Kariman

Zahra ke hain do nain Hasnain Karimain

Sajda bhi Nabi jinke liye tool hai farmaen
Woh kaun hai jinke liye jannat se libaas aaye
Woh kaun hai sibtain, Hasnain Karimain

Zahra ke hain do nain Hasnain Karimain

Maula ne banaya hai unhe aisa woh: aise hain
Jo shakl mein soorat mein Nabi Paak ke jaise hain
Nana ke hai Noor-ain, Hasnain Karimain

Zahra ke hain do nain Hasnain Karimain

Hai naqsh woh: dil jinpe saadaat ki ulfat ke
Haan asl mein woh hi to haqqdar hain jannat ke
Unhi ke to hain daarain, Hasnain Karimain

Na’at-khwan:
Hazrat Gulfam Raza Hassani