WhatsApp Order On WhatsApp

वो: जा़त जो सरापा तस्वीरे-मुस्त़फा़ है / Woh zaat jo saraapa tasveere-Mustafa hai | Zahra ka laadla hai

वो: जा़त जो सरापा तस्वीरे-मुस्त़फा़ है
ज़हरा का लाडला है ज़हरा का लाडला है
शेरे-खु़दा का दिल है जै़नब का हौसला है
ज़हरा का लाडला है ज़हरा का लाडला है

ऐसा अजी़म साबिर कोई कहीं बता दे
तारीख में बता दे
जो अपना घर लुटाकर सज्दे में जा रहा है
ज़हरा का लाडला है ज़हरा का लाडला है

आ़ली मका़म है वो: ऐसा इमाम है वो:
सद-एतराम है वो:
आगौशे-मुस्त़फा़ का मिंबर जिसे मिला है
ज़हरा का लाडला है ज़हरा का लाडला है

हिम्मत नहीं किसी में जो सामने को आए
तलवार आज़माए
वो: जुल्फि़का़र उठा कर मैदान में खड़ा है
ज़हरा का लाडला है ज़हरा का लाडला है

जुल्मों-सितम के आगे झुकता नहीं है सय्यद
बाबा है जिसके सय्यद
सर कट गया है जिसका लेकिन नहीं झुका है
ज़हरा का लाडला है ज़हरा का लाडला है

कु़रआन पढ़ने वाले यूं तो बहुत मिलेंगे
लेकिन वो: सब कहेंगे
नेजे़ पे पढ़ने वाला वो: सर तो मोजज़ा है
ज़हरा का लाडला है ज़हरा का लाडला है

बद-बख़्त हो यजी़दों क्यों जु़ल्म कर रहे हो
उस से उलझ रहे हो
बचपन से जो नबी के जु़ल्फों से खेलता है
ज़हरा का लाडला है ज़हरा का लाडला है

नूर अहले-बैते-अतहार का करम है
बाक़ी मेरा भरम है
वो: है मेरा सहारा जो इब्ने-मुर्तजा़ है
ज़हरा का लाडला है ज़हरा का लाडला है

ना’त-ख़्वां
ह़ज़रत गुलाम नूरे मुजस्सम


Woh zaat jo saraapa tasveere-Mustafa hai
Zahra ka laadla hai Zahra ka laadla hai
Shere-Khuda ka dil hai Zainab ka hausla hai
Zahra ka laadla hai Zahra ka laadla hai

Aisa azeem sabir koi kahin bata de
Tareekh mein bata de
Jo apna ghar lutaakar sajde mein ja raha hai
Zahra ka laadla hai Zahra ka laadla hai

Aali maqaam hai woh, aisa Imaam hai woh
Sad-Ehtraam hai woh
Aaghoshe-Mustafa ka minbar jise mila hai
Zahra ka laadla hai Zahra ka laadla hai

Himmat nahi kisi mein jo saamne ko aaye
Talwar aazmaaye
Woh Zulfiqar utha kar maidan mein khada hai
Zahra ka laadla hai Zahra ka laadla hai

Zulmo-sitam ke aage jhukta nahi hai Sayyed
Baba hai jiske Sayyed
Sar kat gaya hai jiska lekin nahi jhuka hai
Zahra ka laadla hai Zahra ka laadla hai

Qur’an padhne wale yoon to bahut milenge
Lekin woh sab kahenge
Neze pe padhne wala woh sar to maujiza hai
Zahra ka laadla hai Zahra ka laadla hai

Bad-bakht ho Yazeedo, kyun zulm kar rahe ho
Us se ulajh rahe ho
Bachpan se jo Nabi ke zulfon se khelta hai
Zahra ka laadla hai Zahra ka laadla hai

Ae Noor Ahle-Baite-Athhaar ka karam hai
Baaqi mera bharam hai
Woh hai mera sahaara jo Ibne-Murtaza hai
Zahra ka laadla hai Zahra ka laadla hai

Na’at-Khwan:
Hazrat Ghulam Noore-Mujassam