WhatsApp Join Naat Group

उम्मे-हानी के वो: मकां से चले / Umme-Haani ke woh makan se chale

उम्मे-हानी के वो: मकां से चले
और ज़मी आसमां से गुज़रे हैं
बस उन्हीं की ये शानो-अ़ज़मत है
बस वही ला-मकां से गुज़रे हैं

कैसे-कैसे सितम को सह सह कर
इश्क़ के इम्तिहां से गुज़रे हैं
मुस्तफा़ के लिए बिलाले-हबश
पूछिए मत कहां से गुज़रे हैं

इल्मे-ग़ैबे-रसूल के मुन्किर
देख आक़ा ने बद्र के अंदर
जिनकी लाशों के जो निशा खींचे
मर के सब उस निशा से गुज़रे हैं

ह़श्र हैं जान ही लिया होगा
लेकिन अब जान कर भी क्या होगा
ब़ागे-जन्नत में जा रहे हैं वही
जो शहे-दीं की हां से गुज़रे हैं

रब ने रखी है उन में वो: निकहत
पूछने की ना आई है नौबत
बोल देते हैं खुद गली कूंचे
मेरे आक़ा यहां से गुज़रे हैं

सरवरे-दीं की ज़ात क्या कहना
उनकी बातों की बात क्या कहना
लफ्ज़ सारे हदीस़ कह लाए
जो नबी की ज़बा से गुज़रे हैं

दीदे-आक़ा में झूम लेने दो
आज क़दमों को चूम लेने दो
हम इनी की तो दीद के खा़तिर
ऐ नकीरैन जां से गुज़रे हैं

अज़हर उनके हर एक सहाबी का
कैसा अंदाज़े-आशिक़ाना था
सबको आशिक़ बना के गुज़रे हैं
उनके आशिक़ जहां से गुज़रे हैं

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत गुलाम गौस गज़ाली


Umme-Haani ke woh makan se chale
Aur zameen aasmaan se guzre hain
Bas unhi ki ye shaano-azmat hai
Bas wahi La-Makaan se guzre hain

Kaise-kaise sitam ko seh-seh kar
Ishq ke imtihaan se guzre hain
Mustafa ke liye Bilale-Habash
Puchiye mat kahaan se guzre hain

Ilme-Ghaibe-Rasool ke munkir
Dekh Aaqa ne Badr ke andar
Jinki laashon ke jo nishan kheenche
Mar ke sab us nisha se guzre hain

Hashr hai jaan hi liya hoga
Lekin ab jaan kar bhi kya hoga
Baaghe-Jannat mein ja rahe hain wahi
Jo Shahe-Deen ki haan se guzre hain

Rab ne rakhi hai un mein wo nikhhat
Puchhne ki na aayi hai naubat
Bol dete hain khud gali koonche
Mere Aaqa yahan se guzre hain

Sarware-Deen ki zaat kya kehna
Unki baaton ki baat kya kehna
Lafz saare Hadees keh laaye
Jo Nabi ki zabaan se guzre hain

Deede-Aaqa mein jhoom lene do
Aaj kadmon ko choom lene do
Hum inhi ki to deed ke khaatir
Ae Nakeerain jaan se guzre hain

Azhar unke har ek Sahabi ka
Kaisa andaaze-aashiqana tha
Sabko aashiq bana ke guzre hain
Unke aashiq jahaan se guzre hain

Na’at-Khwan:
Hazrat Ghulam Ghaus Ghazali