WhatsApp Join Naat Group

तनी है नूर की चादर मेरे सरकार आए हैं / tani hai noor ki chadar mere sarkar aaye hain

तनी है नूर की चादर, मेरे सरकार आए हैं
मची है धूम सिदरा पर मेरे सरकार आए हैं

मुसलसल हो रही है आसमान से नूर की बारिश
सरापा नूर के पैकर मेरे सरकार आए हैं

मिटेगा ज़ुल्म दुनिया से, तनेगी अम्न की चादर
निज़ामे-ज़िंदगी लेकर मेरे सरकार आए हैं

कहा जंगल में हिरनी ने मुझे तुम से छुड़ाने को
यहूदी, देख ले मुड़कर मेरे सरकार आए हैं

ज़मीं ख़ुश, आसमां ख़ुश, चांद ख़ुश, तारे भी ख़ुश-ख़ुश हैं
रची हैं शादियां घर-घर मेरे सरकार आए हैं

किसी भी बाप के हाथों ना होगी दफ़्न अब ज़िंदा
कभी भी, कोई भी दुख़्तर मेरे सरकार आए हैं

है आऐ बज़्मे-मिलादुन्नबी में जितने दीवाने
कहें एक बार सब मिलकर मेरे सरकार आए हैं

मिलेगी दीनों-दुनिया की तुम्हें भी बरकतें आ़बिद
पढ़ो ना’ते-नबी घर-घर मेरे सरकार आए हैं

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत अहमदूल फत्ताह फैजा़बादी

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत अहमदुल फत्ताह फैजाबादी

tani hai noor ki chadar mere sarkar aaye hain
Machi hai dhoom Sidra par mere Sarkaar aaye hain

Musalsal ho rahi hai aasmaan se noor ki baarish
Sarapa noor ke paikar mere Sarkaar aaye hain

Mitega zulm duniya se, tanegi amn ki chaadar
Nizaame-zindagi lekar mere Sarkaar aaye hain

Kaha jangal mein hirni ne mujhe tum se chhudane ko
Yahudi, dekh le mudkar mere Sarkaar aaye hain

Zameen khush, aasman khush, chaand khush, taare bhi khush-khush hain
Rachi hain shaadiyaan ghar-ghar mere Sarkaar aaye hain

Kisi bhi baap ke haathon na hogi dafn ab zinda
Kabhi bhi, koi bhi dukhtar mere Sarkaar aaye hain

Hai aaye bazme-Miladun-Nabi mein jitne deewane
Kahein ek baar sab milkar mere Sarkaar aaye hain

Milegi deeno-duniya ki tumhe bhi barkatein A’abid
Padho na’ate-Nabi ghar-ghar mere Sarkaar aaye hain

Na’at-Khwan:
Hazrat Ahmadul Fattah Faizabadi