WhatsApp Join Naat Group

शहीदे आज़म ज़िंदाबाद शहीदे आज़म ज़िंदाबाद / Shaheede Aazam Zindabad Shaheede Aazam Zindabad

तेरी शहादत से इस्लाम का गुलशन है आबाद

शहीदे-आज़म ज़िंदाबाद, शहीदे-आज़म ज़िंदाबाद

गली गली और शहर शहर में आपके नाम का ना’रा है
आए मदद को आप उसी दम जिस दम तुम्हें पुकारा है
हम लोगों को रंजो-अ़लम से तुमने किया आजा़द

इस मह़फिल का बच्चा-बच्चा असग़र का दीवाना है
इस मह़फिल का बच्चा-बच्चा अकबर का दीवाना है
इस मह़फिल का बच्चा-बच्चा का़सिम का दीवाना है
इस मह़फिल में आज ज़रूरी आका़ तुमको आना है
दीवानों ने आज तुम्हें यूं दिल से किया है याद

शहीदे-आज़म ज़िंदाबाद, शहीदे-आज़म ज़िंदाबाद

जिसने तलवारों के साए में भी दिया ह़क़ का पैगा़म
जिसने दस्ते-कर्बो-बला में ख़ून से लिखा है इस्लाम
जिसने दीने-नबी पे सब कु़र्बां कर दी औलाद

सारी कमेटी वाले आका़ तुमसे मुह़ब्बत करते हैं
इस वाइज़ हर साल यहां पर बज़्मे-हुसैनी करते हैं
दुश्मन तुम्हारे क़हरे-खु़दा से हो गए हैं बर्बाद

शहीदे-आज़म ज़िंदाबाद, शहीदे-आज़म ज़िंदाबाद

कर्बो-बला से आज भी देखो फैज़ का दरिया जारी है
आप के दर का कूंचा कूंचा जन्नत की एक क्यारी है
इस वाइ’ज़ हम दर पे तुम्हारे लाए हैं फ़रियाद

ना’त-ख्वां:
हज़रत मरहूम सज्जाद निज़ामी

Teri shahadat se Islam ka gulshan hai aabaad

Shaheede Aazam Zindabad Shaheede Aazam Zindabad

Gali gali aur shehar shehar mein aapke naam ka na’ara hai
Aaye madad ko aap usi dam jis dam tumhein pukaara hai
Hum logon ko ranjo-alam se tumne kiya aabaad

Is mehfil ka bachcha-bachcha Asghar ka deewana hai
Is mehfil ka bachcha-bachcha Akbar ka deewana hai
Is mehfil ka bachcha-bachcha Qasim ka deewana hai
Is mehfil mein aaj zaroori aaqa tumko aana hai
Deewanon ne aaj tumhein yun dil se kiya hai yaad

Shaheede Aazam Zindabad Shaheede Aazam Zindabad

Jisne talwaron ke saaye mein bhi diya haq ka paighaam
Jisne daste-Karbo-bala mein khoon se likha hai Islam
Jisne deene-Nabi pe sab qurbaan kar di aulad

Saari kameti waale aaqa tumse muhabbat karte hain
Is waa’iz har saal yahan par Bazme-Hussaini karte hain
Dushman tumhare qahre-Khuda se ho gaye hain barbaad

Shaheede Aazam Zindabad Shaheede Aazam Zindabad

Karbo-Bala se aaj bhi dekho faiz ka dariya jaari hai
Aap ke dar ka kuncha kuncha jannat ki ek kyaari hai
Is waa’iz hum dar pe tumhare laaye hain fariyaad

Na’at-Khwan:
Hazrat Marhoom Sajjad Nizami