WhatsApp Join Naat Group

रौशन है गु़लामों का चेहरा, सरकार की आमद आमद है / Raushan hai ghulamon ka chehra, Sarkar ki aamad aamad hai

रौशन है गु़लामों का चेहरा, सरकार की आमद आमद है
लव पर है दुरूदों का नग़मा, सरकार की आमद आमद है

एक मशरिक़ में, एक मग़रिब में, एक खा़ना-ए-काबा की छत पर
जिब्रील लगाते हैं झंडा, सरकार की आमद आमद है

दरगोर न होने पाएगी, अब ज़िंदा किसी की बेटी भी
का़नून है आका़ का ऐसा, सरकार की आमद आमद है

बेवाओं के, मज़लूमों के, मजबूरों के दिल भी शादा हैं
चौढ़ा है यातीमों का सीना, सरकार की आमद आमद है

वो: हम पे करम फरमाएंगे, जब मेरी लहद में आएंगे
कह दूंगा नकीरो ठहरो ज़रा, सरकार की आमद आमद है

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत ज़िया यज़दानी बहराइची

Raushan hai ghulamon ka chehra, Sarkar ki aamad aamad hai
Lab par hai duroodon ka nagma, Sarkar ki aamad aamad hai

Ek Mashriq mein, ek Maghrib mein, ek Khana-e-Kaaba ki chhat par
Jibreel lagaate hain jhanda, Sarkar ki aamad aamad hai

Dar gor na hone paaegi, ab zinda kisi ki beti bhi
Qanoon hai aaqa ka aisa, Sarkar ki aamad aamad hai

BewaaOn ke, mazluMon ke, majboRon ke dil bhi shaada hain
Chodha hai yateemon ka seena, Sarkar ki aamad aamad hai

Woh ham pe karam farmaaenGe, jab meri lahd mein aaenGe
Keh doonga Nakeero thehro zara, Sarkar ki aamad aamad hai

Na’at-Khwan:
Hazrat Ziya Yazdani Bahraichi