WhatsApp logo Join Naat Group

रसूले-पाक की हर हर अदा के बारे में | Rasoole-Paak ki har har ada ke baare mein, Lage huye hain sab unki sana ke baare mein

किसी घटा, किसी ख़ुशबू से पूछ लेना तुम
मेरे हुज़ूर की ज़ुलफे-दुता के बारे में

इसी सुवाल में जन्नत है, और दोज़ख़ भी
अक़ीदा क्या था तेरा मुस्तफा के बारे में

अ़ली से पूछिये क्या हैं नबी के तीनों यार
और उनसे पूछें अली मुर्तुज़ा के बारे में

मक़ाम उ़वैस का क्या है हुज़ूर ही जाने
जो कहलवाते हैं उनसे दुआ़ के बारे में

रज़ा से दूर हो तो दूर इसलिए हो तुम
तुम्हे पता ही नही कुछ रज़ा के बारे में

मेरे ख़ुदा मेरी बेटी को बा-ह़या रखना
ये पूछती है बहुत फा़ति़मा के बारे में

ना’त-ख़्वां:
हज़रत ग़ुलाम ग़ौस ग़ज़ाली

Kisi ghata, kisi khushboo se pooch lena tum
Mere Huzoor ki zulfe-duta ke baare mein

Isi sawal mein jannat hai, aur dauzakh bhi
Aqeeda kya tha tera Mustafa ke baare mein

Ali se poochiye kya hain Nabi ke teenon yaar
Aur unse poochen Ali Murtuza ke baare mein

Maqam Uwais ka kya hai Huzoor hi jaane
Jo kehlwate hain unse dua ke baare mein

Raza se door ho to door isliye ho tum
Tumhe pata hi nahi kuchh Raza ke baare mein

Mere Khuda meri beti ko ba-haya rakhna
Ye puchhti hai bahut Fatima ke baare mein

Na’at-Khwan:
Hazrat Gulam Ghaus Ghazali