WhatsApp logo Join Naat Group

रब के महबूब के किरदार को देखा होता | Rab ke Mahboob ke kirdaar ko dekha hota, Pyaar kehte hain kise pyaar ko dekha hota

रब के महबूब के किरदार को देखा होता
प्यार कहते हैं किसे प्यार को देखा होता

तुम जो कहते हो किसी का नहीं होता कोई
काश तुमने मेरे सरकार को देखा होता

दोस्ती क्या है, वफ़ा क्या है, मोहब्बत क्या है
सौर के ग़ार में, एक यार को देखा होता

यूं नही कह दिया आक़ा ने उन्हें शेरे-ख़ुदा
जंग में हैदरे-कर्रार को देखा होता

कौन है जिसकी निगाहे नही कहती अज़हर
जलव-ए-अहमदे-मुख्तार को देखा होता

ना’त-ख़्वां:
हज़रत ग़ुलाम ग़ौस ग़ज़ाली

Rab ke Mahboob ke kirdaar ko dekha hota
Pyaar kehte hain kise pyaar ko dekha hota

Tum jo kehte ho kisi ka nahi hota koyi
Kaash tumne mere Sarkar ko dekha hota

Dosti kya hai, wafa kya hai, muhabbat kya hai
Saur ke ghaar mein, ek yaar ko dekha hota

Yun nahi keh diya Aaqa ne unhein Sher-e-Khuda
Jang mein Haidere-karrar ko dekha hota

Kaun hai jiski nigaahen nahi kehti Azhar
Jalwa-e-Ahmade-Mukhtar ko dekha hota

Na’at-Khwan:
Hazrat Gulam Gaus Ghazali