WhatsApp Join Naat Group

नूर में नहाते हैं मुस्त़फा़ के घर वाले | Noor mein nahaate hain Mustafa ke ghar waale, Khoob jagmagaate hain Mustafa ke ghar waale

नूर में नहाते हैं मुस्त़फा़ के घर वाले
खू़ब जग मगाते हैं मुस्त़फा़ के घर वाले

दीन की हिफाज़त की बात जब भी आती है
गर्दनें कटाते हैं मुस्त़फा़ के घर वाले

कुफ्र थर-थराता है, दीन मुस्कुराता है
जब अलम उठाते हैं मुस्त़फा़ के घर वाले

कह दो ये यज़ीदो से अब कहां छुपेंगे वो:
कर्बला में आते हैं मुस्त़फा़ के घर वाले

खास सा उन्हीं का है चढ़ के नेज़े के ऊपर
क़ुर्आं को सुनाते हैं मुस्त़फा़ के घर वाले

है नहीं ज़माने में जिन का कोई भी उनको
सीने से लगाते हैं मुस्त़फा़ के घर वाले

कौन कर सकेगा यूं मदह अहले-बैत अख्तर
जिस से खु़द कराते हैं मुस्त़फा़ के घर वाले

ना’त-ख्वां:
हज़रत कमाल अख़्तर वस्तवी

Noor mein nahaate hain Mustafa ke ghar waale
Khoob jagmagaate hain Mustafa ke ghar waale

Deen ki hifazat ki baat jab bhi aati hai
Gardanein katate hain Mustafa ke ghar waale

Kufr thar-tharata hai, deen muskuraata hai
Jab alam uthate hain Mustafa ke ghar waale

Keh do ye Yazido se ab kahan chhupenge woh
Karbala mein aate hain Mustafa ke ghar waale

khaas sa unhi ka hai chadh ke neze ke upar
quraan ko sunaate hain Mustafa ke ghar waale

Hai nahi zamaane mein jin ka koi bhi unko
Seene se lagate hain Mustafa ke ghar waale

Kaun kar sakega yun madh Ahl-e-Bait Akhtar
Jis se khud karate hain Mustafa ke ghar waale

Na’at-Khwan:
Hazrat Kamal Akhtar wastavi