WhatsApp Join Naat Group

नवासा हूं पयंबर का मुझे शब्बीर कहते हैं | Nawasa hoon Payambar ka mujhe Shabbir kehte hain | By Muhammad Ali Faizi

वो: घर जिसमें इजाज़त लेके आते बुलबुले-सिदरा
उसी घर का हूं परवर्दा, मुझे शब्बीर कहते हैं

नवासा हूं पयंबर का मुझे शब्बीर कहते हैं

ह़सन मेरे बड़े भाई तो ज़ैनब हैं बहन मेरी
मेरे बाबा अ़ली मौला, मुझे शब्बीर कहते हैं

चचा हैं मेरे वालिद के जनाबे-सय्यदुश-शोहदा
भतीजा हूं में जाफ़र का, मुझे शब्बीर कहते हैं

मुहब्बत मुझ से जो करता है उस को जाम कौसर का
पिलाएँगे मेरे नाना, मुझे शब्बीर कहते हैं

नबी नाना अली बाबा हसन भाई तो माँ ज़हरा
है किस का ख़ानदाँ ऐसा, मुझे शब्बीर कहते हैं

नवासा हूं पयंबर का मुझे शब्बीर कहते हैं

यज़ीदी फ़ौजिओ सुन लो मैं तन्हा सब पे भारी हूँ
अली हैदर का हूँ बेटा, मुझे शब्बीर कहते हैं

मुझे मजबूर मत समझो न ताना प्यास का तुम दो
मेरी ठोकर में है दरिया, मुझे शब्बीर कहते हैं

रसूलल्लाह को महशर में कैसे मुँह दिखाओगे
गला तुम काट कर मेरा, मुझे शब्बीर कहते हैं

यहाँ आया हूँ मैं वादा निभाने अपने बचपन का
हूँ वादे का बहुत पक्का, मुझे शब्बीर कहते हैं

नवासा हूं पयंबर का मुझे शब्बीर कहते हैं

कटाना सर, लुटाना घर गवारा है मुझे लेकिन
नहीं मैं हाथ दे सकता, मुझे शब्बीर कहते हैं

सुनाओ मनक़बत क़ासिम कि जिस का पहला मिस्रा है
नवासा हूँ पयम्बर का, मुझे शब्बीर कहते हैं

ना’त-ख़्वां:
हज़रत मुहम्मद अ़ली फैज़ी

Woh ghar jismein ijazat leke aate bulbule-Sidra
Usi ghar ka hoon parwarda, mujhe Shabbir kehte hain

Nawasa hoon Payambar ka mujhe Shabbir kehte hain

Hasan mere bade bhai to Zainab hain behan meri
Mere baba Ali Maula, mujhe Shabbir kehte hain

Chacha hain mere walid ke Janabe-Sayyadush-Shuhada
Bhatija hoon main Jafar ka, mujhe Shabbir kehte hain

Muhabbat mujh se jo karta hai us ko jaam Kausar ka
Pilaayenge mere naana, mujhe Shabbir kehte hain

Nawasa hoon Payambar ka mujhe Shabbir kehte hain

Nabi naana Ali Baba Hasan bhai to maa Zahra
Hai kis ka khaandan aisa, mujhe Shabbir kehte hain

Yazidi faujiyo sun lo main tanha sab pe bhaari hoon
Ali Haider ka hoon beta, mujhe Shabbir kehte hain

Mujhe majboor mat samjho na taana pyaas ka tum do
Meri thokar mein hai dariya, mujhe Shabbir kehte hain

Rasulullah ko Mahshar mein kaise munh dikhaoge
Gala tum kaat kar mera, mujhe Shabbir kehte hain

Yahan aaya hoon main waada nibhaane apne bachpan ka
Hoon waade ka bahut pakka, mujhe Shabbir kehte hain

Nawasa hoon Payambar ka mujhe Shabbir kehte hain

Kataana sar lutaana ghar gawara hai mujhe lekin
Nahi main haath de sakta, mujhe Shabbir kehte hain

Sunaao manqabat Qasim ki jis ka pehla misra hai
Nawasa hoon Payambar ka, mujhe Shabbir kehte hain

Na’at-Khwaan:
Hazrat Muhammad Ali Faizi