WhatsApp Join Naat Group

अफ़ज़ल है कुल जहां में घराना हुसैन का, नबियो का ताजदार है नाना हुसैन का | afzal hai kul jahan mein gharana hussain ka, Nabiyo ka taajdaar hai Naana Hussain ka

अफ़ज़ल है कुल जहां में घराना हुसैन का
नबियो का ताजदार है नाना हुसैन का

शेरे-खुदा के शेर हैं शब्बीर देखिये
कैसी चला रहे हैं वो: शमशीर देखिये
हैदर का है निशाना, निशाना हुसैन का

हौश उड़ गए हैं देख के सारे जहान के
आंसू निकल पड़े हैं कभी आसमान के
अकबर को घोड़े पर वो: चढाना हुसैन का

दौलत पे मरने वाले यजीदी को क्या ख़बर
शब्बीर कर्बला में अगर मार दें ठोकर
हो सारे कर्बला में खज़ाना हुसैन का

जैनब भी साथ में हैं सकीना भी साथ में
चर्चे हैं जिनकी जात के कुल कायनात में
कर्बो-बला में सब है घराना हुसैन का

फौजे-यजीदियत का नशा ही उतर गया
मंजर ये देख देख के लश्कर बिखर गया
अब्बास को अलम वो: उठाना हुसैन का

ना’त-ख़्वां:
हज़रत मुह़म्मद अ़ली फैजी़

afzal hai kul jahan mein gharana hussain ka
Nabiyo ka taajdaar hai Naana Hussain ka

Shere-Khuda ke sher hain Shabbir dekhiye
Kaisi chala rahe hain woh shamshir dekhiye
Haider ka hai nishana, nishana Hussain ka

Hosh ud gaye hain dekh ke saare jahan ke
Aansu nikal pade hain kabhi aasman ke
Akbar ko ghode par wo: chadhana Hussain ka

Dolat pe marne wale Yazeedi ko kya khabar
Shabbir Karbala mein agar maar dein thokar
Ho saare Karbala mein khazana Hussain ka

Zainab bhi saath mein hain Sakina bhi saath mein
Charche hain jinki zaat ke kul kainaat mein
Karbo-Bala mein sab hai gharana Hussain ka

Fauje-Yazeediyat ka nasha hi utar gaya
Manzar ye dekh dekh ke lashkar bikhar gaya
Abbas ko alam wo: uthana Hussain ka

Na’at-Khwan:
Hazrat Muhammad Ali Faizi