WhatsApp Join Naat Group

नबी के दीने-पाक के वका़र को सलाम हो, ज़मीने-कर्बला के ताजदार को सलाम हो | nabi ke deene-paak ke waqaar ko salaam ho, zammene karbala ke tajdaar ko slaam ho

तेरी बहार ही से तो बहार है जहांन में
ज़मीने कर्बला तेरी बहार को सलाम हो

नबी के दीने-पाक के वका़र को सलाम हो
ज़मीने-कर्बला के ताजदार को सलाम हो

है जिसकी ईंट ईंट में नबी की आल का लहू
शहिदे-कर्बला के हर मज़ार को सलाम हो

शुजाअते-अली भी एक बार सब ने देख ली
हुसैन को सलाम, ज़ुल्फिकार को सलाम हो

नबी के दीने-पाक के वका़र को सलाम हो
ज़मीने-कर्बला के ताजदार को सलाम हो

यज़ीदियत के सामने डरा नहीं झुका नहीं
हुसैन के हर एक जा निस़ार को सलाम हो

वो: जिसको देखकर लबे-रसूल मुस्कुराएंगे
ग़मे-हुसैन तेरे बेक़रार को सलाम हो

ना’त-ख्वां:
हज़रत मुहम्मद अली फैज़ी

Teri bahar hi se to bahar hai jahan mein
Zameen-e-Karbala teri bahar ko salaam ho

nabi ke deene-paak ke waqaar ko salaam ho
zammene-karbala ke tajdaar ko salaam ho

Hai jiski eent eent mein Nabi ki Aal ka lahu
Shaheed-e-Karbala ke har mazar ko salaam ho

Shuja’ate-Ali bhi ek baar sab ne dekh li
Hussain ko salaam, Zulfikar ko salaam ho

nabi ke deene-paak ke waqaar ko salaam ho
zammene-karbala ke tajdaar ko salaam ho

Yazidiyat ke samne dara nahi jhuka nahi
Hussain ke har ek ja-nisaar ko salaam ho

Wo: jisko dekhkar labe-Rasool muskuraenge
Gham-e-Hussain tere beqarar ko salaam ho

Na’at-Khwan:
Hazrat Muhammad Ali Faizi