मुबारक हो महे-रमज़ान आया / Mubarak ho Mahe-Ramzan aaya

मुबारक हो महे-रमज़ान आया
सभी हाथ में क़ुरआन आया

उतर आई हैं जन्नत की ग़िज़ायें
जब अफ़्तारी का दस्तर-ख़्वान आया

महे-रमज़ान की वो: अज़मतें हैं
कि हर एक क़ैद में शैतान आया

ख़ुशी की लहर रोजे़दार में है
बे-रोजे़दार पे तूफा़न आया

ऐ ताहिर क्या बताऊं शान इसकी
अलग लेकर के अपनी शान आया

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत ता़हिर रज़ा रामपुरी


Mubarak ho Mahe-Ramzan aaya
Sabhi haath mein Quraan aaya

Utar aayi hain Jannat ki ghizayein
Jab Aftari ka Dastar-Khwan aaya

Mahe-Ramzan ki woh azmatein hain
Ke har ek qaid mein Shaitan aaya

Khushi ki lehar roze-daar mein hai
Be-rozedaar pe toofaan aaya

Aye Tahir kya bataun shan iski
Alag lekar ke apni shan aaya

Na’at-Khwan:
Hazrat Tahir Raza Rampuri