मेरे आक़ा की गुलामी जिसे मिल जाती है
बादशाहत भी उसे देख के शर्माती है
फूल महकते हैं नबी से तो ताज्जुब कैसा
उनकी खुशबू तो मेरी रूह को महकाती है
हो गया चाँद उधर और उधर ही सूरज
मेरे सरकार की उंगली जिधर हो जाती है
टूट जाना है उसे, टूट के गिर जाना है
कर्बला वालों से तलवार जो टकराती है
हो गई ना’ते-नबी, बन गई मिदहत उनकी
जब रज़ा को मेरे सरकार की याद आती है
सुलहे-कुल्ली पे, वहाबी पे, क़यामत टूटे
अज़हरी की मेरे, तशरीफ जिधर जाती है
काश देहलीज़े-रिसालत पे मुझे मौत आए
ये ग़ज़ाली दिले-आशिक़ से सदा आती है
इस्लामी-शायर:
ह़ज़रत अज़हर फारूकी़ साहब
ना’त-ख़्वां:
हज़रत गुलाम गौस ग़जाली
Mere Aaqa ki gulami jise mil jaati hai
Badshahat bhi use dekh ke sharmaati hai
Phool mehkhe hain Nabi se to ta’ajjub kaisa
Unki khushbu to meri rooh ko mehkaati hai
Ho gaya chaand udhar aur udhar hi sooraj
Mere Sarkar ki ungli jidhar ho jaati hai
Toot jaana hai use, toot ke gir jaana hai
Karbala waalon se talwaar jo takraati hai
Ho gayi na’ate-Nabi ban gayi midhat unki
Jab Raza ko mere Sarkar ki yaad aati hai
Sulhe-kulli pe, wahabi pe, qayaamat toote
Azhari ki mere, tashreef jidhar jaati hai
Kaash dehleeze-Risalat pe mujhe maut aaye
Yeh Ghazali dile-aashiq se sada aati hai
Islami-poet:
Hazrat Azhar Farooqi Sahab
Na’at-Khwan:
Hazrat Gulam Gaus Ghazali