WhatsApp Join Naat Group

मेरा तन मन हुसैनी है | Mera Tan Man Husaini Hai By Alhamdulillah Fattah Faizabadi

हक़ पर शहीद होने का जज़्बा सिखा गए
रब से क़रीब होने का रस्ता बता गए
सारे जहां में फूल खु़शी का खिला गए
नेजे़ पे चढ़ के आयते‌-क़ुरआं सुना गए

मेरा तन मन हुसैनी है, मेरा तन मन हुसैनी है

इस्लाम के वका़र को मिटने नहीं दिया
हर सू नबी के दीन का डंका बजा गए
एहसान उनका भूल न पाओगे ह़श्र तक
कर्बल की सर ज़मीन पे जो सर कटा गए

औका़त उसकी याद दिला दी हुसैन ने
जा़लिम के मुंह पे ऐसा तमाचा लगा गई
जु़ल्मों-सितम यजी़द का मिट्टी में मिल गया
शब्बीर ऐसा सब्र का दरिया बहा गए

मेरा तन मन हुसैनी है, मेरा तन मन हुसैनी है

अब्बास ने भी राहे-खु़दा में कटाया सर
का़सिम भी दीं के वास्ते खूं में नहा गए
असगर नें खूं से सींचा है इस्लाम का चमन
अकबर भी कर्बला में जवानी लुटा गए

उनको रसूले-पाक की उम्मत का था ख़्याल
यूं ही नहीं मदीने से वो: कर्बला गए
घर बार अपना दे के शरीअ़त के वास्ते
गुमराहियत की राह से सबको बचा गए

मेरा तन मन हुसैनी है, मेरा तन मन हुसैनी है

गर्डन में पट्टा अपनी गु़लामी का डाल कर
मुझ से गुनहगार की कि़स्मत जगा गए
अह़मद ये उनके लुत्फो़-इनायात ही तो है
मुझ जैसे बे-अ़मल को भी अपना बना गए

ना’त-ख़्वां:
हजरत अल्हम्दुलिल्लाह फ़त्ताह फैजा़बादी

Haq par shaheed hone ka jazba sikha gaye
Rab se qareeb hone ka rasta bata gaye
Saare jahaan mein phool khushi ka khila gaye
Neze pe chadh ke aayate-Qur’an suna gaye

Mera tan man Husaini hai, mera tan man Hussaini hai

Islam ke waqar ko mitne nahi diya
Har soo Nabi ke deen ka danka baja gaye
Ehsaaan unka bhool na paaoge hashr tak
Karbala ki sar zameen pe jo sar kata gaye

Aukaat uski yaad dila di Husain ne
Zalim ke munh pe aisa tamaacha laga gaye
Zulm-o-sitam Yazid ka mitti mein mil gaya
Shabbir aisa sabr ka dariya baha gaye

Mera tan man Husaini hai, mera tan man Hussaini hai

Abbas ne bhi raah-e-Khuda mein kataaya sar
Qasim bhi deen ke vaaste khoon mein naha gaye
Asghar ne khoon se seencha hai Islam ka chaman
Akbar bhi Karbala mein jawani luta gaye

Unko Rasoole-Paak ki ummat ka tha khayal
Yoon hi nahi Madine se wo: Karbala gaye
Ghar baar apna de ke shari’At ke vaaste
Gumraahiyat ki raah se sabko bacha gaye

Mera tan man Husaini hai, mera tan man Hussaini hai

Gardaan mein patta apni gulaami ka daal kar
Mujh se gunahgaar ki kismat jaga gaye
Ahmed ye unke lutfo-inayaat hi to hai
Mujh jaise be-amal ko bhi apna bana gaye

Na’at-khwan:
Hazrat Alhamdulillah Fattah Faizabadi