WhatsApp Join Naat Group

में मदीने को जाने लगा हाज़री मौतबर हो गई / Me madine ko jaane laga hazri mautabar ho gayi | by haseeb ur rahman sambhali

में मदीने को जाने लगा हाज़री मौतबर हो गई,
जब पढ़ा मेने सल्ले-अला मुस्तफा को ख़बर हो गई.

माँ ह़लीमा थीं और मुस्तफा़ बचपने का है ये मौ’जज़ा
चांद झुकने उधर ही लगा उनकी उंगली जिधर हो गई

में मदीने को जाने लगा हाज़री मौतबर हो गई,

आए थे क़त्ल करने उमर देखते ही फ़िदा हो गए
जब मेरे शाह-ए-ज़ीशान की प्यार वाली नज़र हो गई

में मदीने को जाने लगा हाज़री मौतबर हो गई,

सय्यदा फातिमा, ताहिरा, ऐसी थी आ’बिदा, ज़ाहिदा
एक सजदा भी हो ना सका उस से पहले सहर हो गई

ना’त-ख्वां:
हज़रत हसीबुर्रहमान संभली साहब


Me madine ko jaane laga hazri mautabar ho gayi,
Jab padha mene salle-ala Mustafa ko khabar ho gayi.

Maan haleema thin aur Mustafa bachpane ka hai maujaza
Chaand jhukne udhar hi laga unki ungli jidhar ho gayi

Me madine ko jaane laga hazri mautabar ho gayi,

Aaye the qatl karne umar dekhte hi Fida ho gaye
Jab mere shaah-e-zeeshan ki pyar waali Nazar ho gayi

Me madine ko jaane laga hazri mautabar ho gayi,

Sayyada Fatima, Taahira, ESI thi aabida, zaahida
Ek sajda bhi na ho saka us se pehle sahar ho gayi

Na’at-khwan:
Hazrat haseeburrahman sambhali sahab