WhatsApp Join Naat Group

मौत के भंवर से या नबी / Maut ke bhanwar se Ya Nabi Bach ke baal-baal aa gaya

मौत के भंवर से या नबी
बच के बाल-बाल आ गया
खै़र हो गई उस घड़ी
आपका ख़्याल आ गया

दो सवाल ख़त्म जब हुए
क़ब्र में दिवाना झूम उठा
अब हुज़ूर होंगे सामने
तीसरा सवाल आ गया

रब ने तेरे घर को भर दिया
तुझको माला-माल कर दिया
ऐ ह़लीमा तेरी गौद में
आमिना का लाल आ गया

ज़िक्रे-मुस्त़फा़ की रात थी
हु़सने-मुस्त़फा की बात थी
अक़्ल वाले सोचते रहे
आशिकों को हाल आ गया

ज़ुल्फि़का़रे-है़दरी चली
यूं लगा के आगए अ़ली
जब यज़ीदियोंं के सामने
फात़िमा का लाल आ गया

था गुरूर जिनको हु़स्न पर
आ नहीं रहे हैं वो: नज़र
हुस्ने-इश्क़े-मुस्तफा लिए
ह़श्र में बिलाल आ गया

नजदियों को मौत आ गई
सुन्नियों को जिन्दागी मिली
जब रजा़ की बात छिड़ गई
इ़श्क़ में उछाल आ गया

क्या नहीं है उनके पास में
क्या नहीं है उनके हाथ में
तैग़-अ़ली के दर पे जो गया
हो के माला-माल आ गया

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत सैफ़ रज़ा कानपुरी


Maut ke bhanwar se Ya Nabi
Bach ke baal-baal aa gaya
Khair ho gayi us ghadi
Aapka khayal aa gaya

Do sawal khatam jab hue
Qabr mein diwana jhoom utha
Ab Huzoor honge saamne
Teesra sawal aa gaya

Rab ne tere ghar ko bhar diya
Tujhko maala-maal kar diya
Ae Haleema teri god mein
Aamina ka laal aa gaya

Zikre-Mustafa ki raat thi
Husne-Mustafa ki baat thi
Aqal waale sochte rahe
Aashiqon ko haal aa gaya

Zulfiqare-Haidari chali
Yun laga ke aa gaye Ali
Jab Yazidiyon ke saamne
Fatima ka laal aa gaya

Tha ghuroor jinko husn par
Aa nahi rahe hain woh nazar
Husne-Ishqe-Mustafa liye
Hashr mein Bilaal aa gaya

Najdiyon ko maut aa gayi
Sunniyon ko zindagi mili
Jab Raza ki baat chhid gayi
Ishq mein uchaal aa gaya

Kya nahin hai unke paas mein
Kya nahin hai unke haath mein
Tegh-Ali ke dar pe jo gaya
Ho ke maala-maal aa gaya

Na’at-Khwan:
Hazrat Saif Raza Kanpuri