WhatsApp Join Naat Group

क्यों कर भला न होगा अब रशके-तूर सीना | Kyun kar bhala na hoga ab rashke-Toor seena

क्यों कर भला न होगा, अब रशके-तूर सीना
मेरी आरज़ू मुहम्मद, मेरी जुस्तुजू मदीना

मैं गदा-ए-मुस्त़फा़ हूं, मेरी अज़मतें न पूछो
मुझे देख कर जहन्नम को भी आ गया पसीना

मुझे दुश्मनों न छेड़ो, मेरा है कोई जहां में
मैं अभी पुकार लूंगा नहीं दूर है मदीना

ब-जुज़ इसके ज़िंदगी में नहीं और कुछ तमन्ना
मुझे मौत भी जो आए तो हो सामने मदीना

मेरी डूबने में बाकी न कोई कसर रही थी
कहा, अल-मदद मुहम्मद तो उभर गया सफ़ीना

इन्हीं दोनों मंजि़लों की मैं हदों में खो गया हूं
कभी, रू-बरू है का’बा, कभी सामने मदीना

मैं मरीज़े-मुस्तफा हूं, मुझे छेड़ो न तबीबो
मेरी जिंदगी जो चाहों, मुझे ले चलो मदीना

कभी ऐं, शकील दिल से न मिटे ख़्याले-अह़मद
इसी आरज़ू में मरना इसी आरज़ू में जीना

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत ओवैस रज़ा क़ादरी

Kyun kar bhala na hoga, ab rashke-Toor seena
Meri aarzoo Muhammad, meri justuju Madina

Main gada-e-Mustafa hoon, meri azmatein na poochho
Mujhe dekh kar jahannam ko bhi aa gaya paseena

Mujhe dushmanon na chhedo, mera hai koi jahan mein
Main abhi pukar loonga nahi door hai Madina

Ba-juj iske zindagi mein nahi aur kuch tamanna
Mujhe maut bhi jo aaye to ho saamne Madina

Meri doobne mein baaki na koi kasar rahi thi
Kaha, al-madad Muhammad to ubhar gaya safeena

Inhin donon manzilon ki main hadon mein kho gaya hoon
Kabhi, ru-baru hai Ka’aba, kabhi saamne Madina

Main mareeze-Mustafa hoon, mujhe chhedo na tabeebo
Meri zindagi jo chaho, mujhe le chalo Madina

Kabhi ai, Shakeel dil se na mite khayale-Ahmad
Isi aarzoo mein marna isi aarzoo mein jeena

Na’at-Khwan:
Hazrat Owais Raza Qadri