WhatsApp Join Naat Group

खा़क मुझ में कमाल रखा है, मुस्त़फ़ा ने संभाल रखा है | Khaak mujh mein kamaal rakha hai, Mustafa ne sambhal rakha hai

खा़क मुझमें कमाल रखा है
मुस्त़फ़ा ने संभाल रखा है

मेरे ऐंबों पे डाल कर पर्दा
अपने अच्छो में डाल रखा है

खा़क मुझमें कमाल रखा है

सबने ठुकरा दिया तो क्या परवाह
आप ने तो ख़्याल रखा है

उनकी रह़मत नहीं फ़क़त हम पर
गै़र का भी ख़्याल रखा है

खा़क मुझमें कमाल रखा है

उसको कोई गिरा नहीं सकता
जिसको तुमने संभाल रखा है

जो तुम्हारा नहीं उसे हम ने
अपने दिल से निकाल रखा है

खा़क मुझमें कमाल रखा है

उनके क़दमों में मौत आ जाए
बस यही एक सवाल रखा है

तेरा एजाज़ कब का मर जाता
तेरे टुकड़ों ने पाल रखा है

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत ओवैस रजा़ का़दरी

Khaak mujh mein kamaal rakha hai
Mustafa ne sambhal rakha hai

Mere Aibon pe daal kar parda
Apne achho mein daal rakha hai

Khaak mujh mein kamaal rakha hai

Sabne thukra diya to kya parwah
Aap ne to khayal rakha hai

Unki rahmat nahi faqat ham par
Ghair ka bhi khayal rakha hai

Khaak mujh mein kamaal rakha hai

Usko koi gira nahi sakta
Jisko tumne sambhal rakha hai

Jo tumhara nahi use ham ne
Apne dil se nikaal rakha hai

Khaak mujh mein kamaal rakha hai

Unke qadmon mein maut aa jaaye
Bas yehi ek sawaal rakha hai

Tera ejaz kab ka mar jaata
Tere tukdon ne paal rakha hai

Na’At-Khwan:
Hazrat Owais Raza Qadri