WhatsApp Join Naat Group

कर्बला कर्बला कर्बला कर्बला / Karabala Karabala Karabala Karabala | Tahir Raza Rampuri | Manqabat e imam hussain

हुसैनुम मिन्नी व-अना मिनल हुसैन

मशहूर है जहान में ये क़ौल-ए-मुस्तफा
मुझसे मेरा हुसैन है मैं हूं हुसैन का
शेर-ए-खुदा का शेर वो: ज़हरा का लाडला
गर्दन कटा के जीत लिया जिसने कर्बला

कर्बला कर्बला कर्बला कर्बला

केसे न होगी ज़ात वो: प्यारी हुसैन की
कांधे हैं मुस्तफा के सवारी हुसैन
खुद हुस्न ने नज़र है उतारी हुसैन की
हर एक श़हीद जिसकी श़हादत पै है फि़दा

अब्बास की ये शाने-शुजाअ़त की बात है
मुट्ठी में जिसके देखिए नहर-ए-फु़रात है
हैरत में जिसको देखके कुल कायनात है
दुश्मन में घुस गए हैं बनाकर वो: रास्ता

कर्बला कर्बला कर्बला कर्बला

आवाज‌ आइ ग़ैब से तलवार रोक लो
शेर-ए-खुदा के शेर ग़ज़ब यूं नहीं करो
तुम चाहो तो सभी को अभी काट के रख दो
लेकिन कुछ और ही है मशीय्यत का फैसला

ताहिर कुछ ऐसे चलती थी तलवार है़दरी
जैसे कि आसमान पे बिजली चमक उठी
वो: दर था जिसके सामने आता ना था कोई
कर ना सका हु़सैन का कोई मुका़बला

ना’त-ख्वां:
हज़रत ताहिर रज़ा रामपूरी

Husainum minni wa-ana minal Husain

Mashhoor hai jahan mein ye qaul-e-Mustafa
Mujhse mera Husain hai main hoon Husain ka
Sher-e-Khuda ka sher woh Zahra ka laadla
Gardan kata ke jeet liya jisne Karbala

Karabala Karabala Karabala Karabala

Kaise na hogi zaat woh pyaari Husain ki
Kaandhe hain Mustafa ke sawari Husain
Khud husn ne nazar hai utaari Husain ki
Har ek shaheed jiski shahadat pe hai fida

Abbas ki ye shaan-e-shuja’At ki baat hai
Mutthi mein jiske dekhiye nahar-e-Furaat hai
Hairat mein jisko dekhke kul kaynaat hai
Dushman mein ghus gaye hain banakar woh raasta

Karabala Karabala Karabala Karabala

Aawaaz aayi ghaib se talwaar rok lo
Sher-e-Khuda ke sher ghazab yun nahin karo
Tum chaaho to sabhi ko abhi kaat ke rakh do
Lekin kuch aur hi hai mashiyat ka faisla

Tahir kuch aise chalti thi talwar Haidari
Jaise ke aasmaan pe bijli chamak uthi
Woh tha jiske saamne aata na tha koi
Kar na saka Husain ka koi muqabala

na’At-khwaan:
hazrat tahir raza rampuri