WhatsApp Join Naat Group

कब प्यास बुझाई जाएगी कब जाम पिलाया जाएगा / kab pyas bujhai jayegi kab jaam pilaya jayega

कब प्यास बुझाई जाएगी कब जाम पिलाया जाएगा
कब दर्द के मारों को आक़ा तै़बा में बुलाया जाएगा

खुशबू भी लगाई जाएगी दूल्हा भी बनाया जाएगा
जिस वक़्त जनाजे़ को मेरे कांधे पे उठाया जाएगा

जो बिखरे हुए हैं कर्बल में सरकार के गुलशन के ग़ुंचे
उन सारे मुक़द्दस फू़लों से जन्नत को सजाया जाएगा

चेहरे को खुला रखना मेरे है मेरी वसीयत है लोगों
कहते हैं लह़द में आक़ा का दीदार कराया जाएगा

बिन देखे ही जब यह आलम है उस वक़्त का आलम क्या होगा
जिस वक़्त रसूले-अकरम का दीदार कराया जाएगा

जितने हैं नबी वो: सब के सब मेह़शर में मनाएंगे रब को
एक जा़ते-मुह़म्मद है जिसको मेह़शर में मनाया जाएगा

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत ताहिर रज़ा रामपुरी


kab pyas bujhai jayegi kab jaam pilaya jayega
Kab dard ke maaron ko aaqa Taiba mein bulaya jayega

Khushbu bhi lagai jayegi dulha bhi banaya jayega
Jis waqt janaze ko mere kandhe pe uthaya jayega

Jo bikhre hue hain Karbal mein Sarkar ke gulshan ke gunche
Un saare muqaddas phoolon se Jannat ko sajaya jayega

Chehre ko khula rakhna mere hai meri wasiyat hai logon
Kehte hain lahad mein aaqa ka deedaar karaya jayega

Bin dekhe hi jab yeh aalam hai us waqt ka aalam kya hoga
Jis waqt Rasool-e-Akram ka deedaar karaya jayega

Jitne hain Nabi wo sab ke sab mehshar mein manayenge Rab ko
Ek zaat-e-Muhammad hai jisko mehshar mein manaya jayega

Na’at-Khwan:
Hazrat Tahir Raza Rampuri