WhatsApp Join Naat Group

जुदाई अब नही होती गवारा या रसूल अल्लाह | Judaai ab nahi hoti gawaara ya Rasool Allah, Bula lo apne rauze par khudara ya Rasool Allah

किसी भी ग़ैर के आगे कभी झुकना नही सीखा
तेरी चौखट पे ही दामन पसारा या रसूल अल्लाह

मदीना देखने वाले यही दिन रात कहते हैं
बुलालो फिर मदीने में दोबारा या रसूल अल्लाह

ज़ियारत के लिए जिसकी फिरिश्ते रोज़ आते हैं
तुम्हारे दर का है ऐसा नज़ारा या रसूल अल्लाह

फसा हूं बहरे-ग़म में डर है मुझको डूब ना जाऊं
सहारा दो सहारा दो सहारा या रसूल अल्लाह

खुदा के सामने पेशी हो जब मैदाने महशर में
करम का एक कर देना इशारा यारसूल अल्लाह

अबू-बकरो, उमर, उस्मान, हैदर जान है तेरी
मिले हमको भी चारों का उतारा या रसूल अल्लाह

ज़माने भर ने देखा रेजा़ रेजा़ हो गया खै़बर
अली ने जब अलम लेकर पुकारा या रसूल अल्लाह

फक़त मेरा नही बल्कि ये सच है सारी दुनिया का
तेरे टुकडो पे होता है गुज़ारा या रसूल अल्लाह

ना’त-ख्वां:
हज़रत ज़ाकिर इस्माइली
हज़रत अहमदुल फ़त्ताह फ़ैज़ाबादी

Kisi bhi gair ke aage kabhi jhukna nahi seekha
Teri chokhat pe hi daaman pasaara ya Rasool Allah

Judaai ab nahi hoti gawaara ya Rasool Allah
Bula lo apne rauze par khudara ya Rasool Allah

Madina dekhne waale yahi din raat kehte hain
Bula lo phir Madine mein dobaara ya Rasool Allah

Ziyarat ke liye jiski farishte rauz aate hain
Tumhare dar ka hai aisa nazara ya Rasool Allah

Fasa hoon bahre-gham mein dar hai mujhko doob na jaaun
Sahaara do sahaara do sahaara ya Rasool Allah

Khuda ke saamne peshi ho jab maidane-mahshar mein
Karam ka ek kar dena ishaara ya Rasool Allah

Abu-Bakro, Umar, Usman, Haidar jaan hai teri
Mile humko bhi charon ka utaara ya Rasool Allah

Zamane bhar ne dekha reza reza ho gaya Khaibar
Ali ne jab alam lekar pukaara ya Rasool Allah

Faqat mera nahi balki ye sach hai saari duniya ka
Tere tukdon pe hota hai guzaara ya Rasool Allah

Na’at-Khwan:
Hazrat Zakir Ismaili
Hazrat Ahmadul Fattah Faizabadi