WhatsApp Join Naat Group

जिधर देखो जहां देखो उजाला मुस्तफा का है / Jidhar dekho jahan dekho ujala Mustafa ka hai | by Shahnawaz Hassan


जिधर देखो जहां देखो उजाला मुस्तफा का है,
जमीं से आसमां तक हर नज़ारा मुस्तफा का है.

हमें परवाह नहीं कोई हमें मालूम है यह भी
खफा सारा ज़माना है सहारा मुस्तफा का है

जिधर देखो जहां देखो उजाला मुस्तफा का है,
जमीं से आसमां तक हर नज़ारा मुस्तफा का है.

हमारा दिल, हमारी जां, हमारी सांस, और आँखें
हमारे पास जो कुछ हैं यह सारा मुस्तफा का है

अरब में जा के जिसने नजदियों का हौसला तोड़ा
मुजाहिद नाम उसका है दीवाना मुस्तफा का है

अली के वास्ते सहबा में सूरज डूब कर वापस
पलट कर क्यूँ ना आजाए इशारा मुस्तफा का है

जिसे दुन्या समझती थी दीवाना अपनी नज़रों में
मगर दीवाना वोः बहलूल-दाना मुस्तफा का है

कटा कर सर किया जिसने खुदा के दीन को जिंदा
अली का लाडला है वोः नवासा मुस्तफा का है

जो गुस्ताख-ए-नबी है देखना दौज़ख में जाएंगे
वही जन्नत में जाएगा जौ शैदा मुस्तफा का है

जिधर देखो जहां देखो उजाला मुस्तफा का है,
जमीं से आसमां तक हर नज़ारा मुस्तफा का है.

ना’त-ख्वां:
हज़रत शहनवाज़ हस्सान


Jidhar dekho jahan dekho ujala Mustafa ka hai,
Zamin se aasman Tak har nazaara Mustafa ka hai.

Hamen parwah nahin koi hamen maloom hai ye bhi
Khafa saara zamana hai Sahara Mustafa ka hai

Jidhar dekho jahan dekho ujala Mustafa ka hai,
Zamin se aasman Tak har nazaara Mustafa ka hai.

Hamara dil, hamari jaan, hamari saans, aur aankhen
Hamare paas Jo kuch hai ye saara Mustafa ka hai

Arab me jaa ke jisne najdiyon ka hausla toda
Mujahid naam uska hai deewana Mustafa ka hai

Ali ke waaste sahba men sooraj doob ke waapas
Palat kar kyun na aa jaae ishaara Mustafa ka hai

Kata kar sar Kiya jisne khuda ke Deen ko zinda
Ali ka laadla hai woh nawaasa Mustafa ka hai

Jo gustakh-e-nabi hai dekhna dauzakh me jaaenge
Wahi jannat me jaaega Jo shaida Mustafa ka hai

Jidhar dekho jahan dekho ujala Mustafa ka hai,
Zamin se aasman Tak har nazaara Mustafa ka hai.

na’at-khwan:
hazrat Shahnawaz Hassan