जीते जी वो: जन्नत का नजारा नहीं देखा
कुछ भी नहीं देखा जो मदीना नहीं देखा
आती है सदा रोज यही करबो बला से
शब्बीर तेरे जैसा तो सजदा नहीं देखा
शब्बीर सरे नेजे पे करता है तिलावत
अरे कुरआन का कारी कही ऐसा नहीं देखा
जान नन्ही से है फिर भी शहादत का है जज्बा
असगर तेरे जैसा कोई बच्चा नहीं देखा
नारा लगा रहे है अरब की जमीन पर
सरकार मुजाहिद सा कलेजा नहीं देखा
है उर्स मुजाहिद के ख़लीफा का सुहाना
नजरों ने कहीं ऐसा नजारा नहीं देखा
अंदर है मुजाहिद तो कभी जेल के बाहर
अरे जेलर ने नजारा कभी ऐसा नहीं देखा
सरकारें-मुजाहिद की है तू एक करामत
ऐ नैमत मिल्लत तेरे जैसा नहीं देखा
ना’त-ख़्वां
ह़ज़रत शाहनवाज़ ह़स्सान
Jeete ji woh jannat ka nazaara nahin dekha
Kuch bhi nahin dekha jo Madina nahin dekha
Aati hai sada roz yahi karbo bala se
Shabbir tere jaisa to sajda nahin dekha
Shabbir sare neze pe karta hai tilaawat
Are Qur’an ka qaari kahi aisa nahin dekha
Jaan nanhi se hai phir bhi shahadat ka hai jazba
Asghar tere jaisa koi bachcha nahin dekha
Naara laga rahe hai Arab ki zameen par
Sarkaar mujahid sa kaleja nahin dekha
Hai urs mujahid ke khaleefa ka suhaana
Nazron ne kahin aisa nazaara nahin dekha
Andar hai mujahid to kabhi jail ke baahar
Are jailer ne nazaara kabhi aisa nahin dekha
Sarkare-Mujahid ki hai tu ek karaamat
Ai Naimat Millat tere jaisa nahin dekha
Na’at-Khwan
Hazrat Shahnawaz Hassan