WhatsApp Join Naat Group

हुसैन तेरे ही क़ब्ज़े में कर्बला होगा, जहाँ पे मेरे पयंबर का तज़्किरा होगा | Husain Tere Hi Qabze Mein Karbala Hoga, Jahaan Pe Mere Payambar Ka Tazkira Hoga

क़सम ख़ुदा की वो मंज़र बदल गया होता
यज़ीदियों का कलेजा दहल गया होता
हुसैन हाथ दुआ को अगर उठा देते
तो कर्बला में भी ज़मज़म निकल गया होता

नज़र से ख़ून नज़ारों से ख़ून टपकेगा
इशारा होता इशारों से ख़ून टपकेगा
अगर हुसैन के सज्दे को भूल जाओगे
तो मस्जिदों के मीनारों से ख़ून टपकेगा

लहू में रंग है बाक़ी तो कर्बला चलिए
अगर है ख़ून में गर्मी तो कर्बला चलिए
नबी के नाम का सदक़ा लुटा रहे हैं हुसैन
किसी को चाहिए पानी तो कर्बला चलिए

वहाँ की मौत भली है यहाँ के जीने से
जहाँ निकलता है ज़मज़म ज़मीं के सीने से
मैं उस हुसैन को क़ुरआँ नहीं तो क्या समझूँ
रसूल-ए-पाक लगाते हैं जिन को सीने से

ना’त-ख़्वां:
हज़रत शमीम रज़ा फैज़ी

kasam khuda ki wo manzar badal gaya hota
yazidiyon ka kaleja dahal gaya hota
Husain haath dua ko agar utha dete
to Karbala mein bhi Zamzam nikal gaya hota

nazar se khoon nazaron se khoon tapkega
ishara hota isharon se khoon tapkega
agar Husain ke sajde ko bhool jaoge
to masjidon ke minaron se khoon tapkega

lahu mein rang hai baaqi to Karbala chaliye
agar hai khoon mein garmi to Karbala chaliye
Nabi ke naam ka sadqa luta rahe hain Husain
kisi ko chahiye paani to Karbala chaliye

wahan ki maut bhali hai yahan ke jeene se
jahaan nikalta hai Zamzam zameen ke seene se
main us Husain ko Quran nahin to kya samjhun
Rasool-e-pak lagaate hain jin ko seene se

na’At-khwaan:
Hazrat shameem raza faizi