WhatsApp Join Naat Group

जबीने-कुफ्र पर क़ुर्आन की आयात लिखने से / Jabeene-kufr par Quran ki aayat likhne se

जबीने-कुफ्र पर क़ुर्आन की आयात लिखने से,
ख़फ़ा बू-जहल के अह़बाब हैं हक़ बात लिखने से

चले जितना भी इसकी रोशनाई कम नहीं होती
क़लम बूढ़ा नहीं होता नबी की ना’त लिखने से

यज़ीदे-वक़्त के दरबार में जितने मुअर्रिख़ है
हैं खा़इफ आज भी जै़नब तेरे खु़त़बात लिखने से

खु़दा वाले तो ज़िंदा है इन्हें मुर्दा समझते हो
हक़ीक़त क्या बदल जाती है दिन को रात लिखने में

ना’त-ख्वां:
ह़ज़रत अख़्तर परवाज़ हबीबी

Jabeene-kufr par Quran ki aayat likhne se,
Khafa bu-Jahl ke ahbab hain haq baat likhne se

Chale jitna bhi iski roshnaai kam nahin hoti
Qalam budha nahi hota Nabi ki na’at likhne se

Yazide-waqt ke darbar mein jitne muArrikh hain
Hain khaaif aaj bhi Zainab tere khutbaat likhne se

Khuda waale to zinda hain inhein murda samajhte ho
Haqeeqat kya badal jaati hai din ko raat likhne mein

Na’at-Khwan:
Hazrat Akhtar Parwaz Habibi