WhatsApp Join Naat Group

जाने-रसूले-पाक हैं कामिल हुसैन हैं | Jaane-Rasoole-Paak hain kamil Hussain hain

छाया हुआ है चार-सू रंगे-हुसैनिया
यूं लग रहा है रौनक़े-मह़फिल हुसैन है

जिसके बगैर कुछ भी नहीं हु़स्ने-बंदगी
रूखसारे-बंदगी का वही दिल हुसैन हैं

सज्दे को तूल देना है इस बात की दलील
दीने-नबी की आखि़री मंजि़ल हुसैन हैं

होकर रहेगा हक़्कौ़-सदाक़त का सर बुलंद
जा़लिम यजी़दियों के मका़बिल हुसैन हैं

करता हूं उनकी मदह हमा वक्त़ में हसन
यूं मेरी जि़ंदगानी में शामिल हुसैन हैं

ना’त-ख़्वां:
हज़रत अमीर हम्ज़ा इलाहाबादी

Chaaya hua hai chaar-su range-Hussainiya
Yun lag raha hai raunaqe-mehfil Hussain hain

Jaane-Rasoole-Paak hain kamil Hussain hain
Dhadkan meri Hasan hain, mera dil Hussain hain

Jiske bagair kuch bhi nahin husne-bandagi
Rukhsare-bandagi ka wahi dil Hussain hain

Sajde ko tool dena hai is baat ki daleel
Deene-Nabi ki aakhiri manzil Hussain hain

Hokar rahega haqqo-sadaqat ka sar buland
Zaalim Yazeediyon ke maqabil Hussain hain

Karta hoon unki madah hama waqt mein Hasan
Yun meri zindagani mein shaamil Hussain hain

Na’At-Khwan:
Hazrat Ameer Hamza Ilaahabaadi