WhatsApp Join Naat Group

हज़ूर आए हैं मेरे हज़ूर आए हैं | ख़ुदा ने किस लिए दोनों जहान सजाए हैं | Khuda ne kis liye donon jahan sajaye hain | Huzoor aaye hain mere Huzoor aaye hain

ख़ुदा ने किस लिए दोनों जहान सजाए हैं
फ़रिश्ते किस लिए झंडे फलक से लाए हैं
ये कैसे रोते हुए चेहरे मुस्कुराए हैं
जहां भी पूछा तो सब ने ये गीत गाए हैं

हज़ूर आए हैं मेरे हज़ूर आए हैं

ऐ आमिना, तेरा आंगन चमकने वाला है
के तेरी गोद से आलम दमकने वाला है
एक, एक सितारा तेरे घर चमकने वाला है
तेरे नसीब में वो रहमतों के साए हैं

जो पेड़ सूखे हुए हैं वो फल उगाएंगे
कभी ये चल के उन्हें सजदा करने आएंगे
जो हैं गुलाम वो आ़क़ा की सफ में आएंगे
वो अपने साथ ख़ुदा के पैग़ाम लाए हैं

हवाएं, फूल, घटा और ये हसीन मौसम
सब आकर चूम रहे हैं मेरे नबी के कदम
इन्हीं के वास्ते चलते हैं शायरों के कलम
चमन, चमन में तराने इन्हीं के गाए हैं

ना कोई ज़ुल्म करेगा गरीबों-बेकस पर
ना कोई लूट सकेगा कहीं किसी का घर
ना जिंदा बच्ची को दफ़नाएगा कोई जाकर
गुलाम गौस वो ऐसा निज़ाम लाए हैं

इस्लामी-शायर:
हज़रत अजहर फारूकी साहब

ना’त-ख़्वां:
हज़रत गुलाम गौस ग़ज़ाली

Khuda ne kis liye donon jahan sajaye hain
Farishtay kis liye jhanday falak se laaye hain
Yeh kaise rote hue chehre muskuraye hain
Jahan bhi poocha to sab ne yeh geet gaye hain

Huzoor aaye hain mere Huzoor aaye hain

Ae Aamina tera aangan chamakne walaa hai
Ke teri godh se aalam damakne waala hai
Ek, ek sitara tere ghar khanakne waala hai
Tere naseeb mein woh rehmaton ke saaye hain

Jo ped sookhe hue hain woh phal ugaayenge
Kabhi yeh chal ke unhein sajda karne aayenge
Jo hain ghulam woh Aaqa ki saf mein aayenge
Woh apne saath Khuda ke payaam laaye hain

Hawaayein, phool, ghata aur yeh haseen mausam
Sab aake choom rahe hain mere Nabi ke qadam
Inhin ke waaste chalte hain shayaron ke qalam
Chaman, chaman mein taraane inhin ke gaaye hain

Na koi zulm karega gareebo-be-kas par
Na koi loot sakega kahin kisi ka ghar
Na zinda bachi ko dafnaye ga koi jaa kar
Gulam Gaus woh aisa nizaam laaye hain

Islami-poet:
Hazrat Azhar Farooqi Sahab

Na’at-Khwan:
Hazrat Gulam Gaus Ghazali