WhatsApp Join Naat Group

हो जाए करम की एक नज़र आक़ा रात गुज़रने वाली है / Ho Jaye Karam Ki Ek Nazar Aaqa Raat Guzarne Waali Hai

हो जाए करम की एक नज़र
आक़ा रात गुज़रने वाली है
इस महफ़िल में हो जाए गुज़र
अब रात गुज़रने वाली है

दिल मेरा धड़कता जाएगा
अश्कों को सुकुन तब आएगा
मिल जाए तेरी आने की ख़बर
आक़ा रात गुज़रने वाली है

देता है दीवाना दिल से सदा
बस एक झलक महबूबे ख़ुदा
सिंगार किए बैठी है नज़र
आक़ा रात गुज़रने वाली है

आ कर मेरी शब को चमका दे
मेरा तन मन धन सब महका दे
हो जाए कहीं न जल्दी सहर
अब रात गुज़रने वाली है

नय्या के खेवैया जल्दी आ
ऐ लाज रखैया जल्दी आ
हम जैसों की किस्मत बन जाए सबर
अब रात गुज़रने वाली है

दूरी ये नहीं सह पाउँगा
तुझे देखे बिना मर जाऊँगा
अज़मत की भी कर दे सुब्ह अमर
अब रात गुज़रने वाली है

नात-ख़्वां:
ह़ज़रत अ़ज़मत रज़ा भागलपुरी


Ho Jaye Karam Ki Ek Nazar
Aaqa raat guzarne waali hai
Is mehfil mein ho jaye guzar
Ab raat guzarne waali hai

Dil mera dhadakta jayega
Ashkon ko sukoon tab aayega
Mil jaye teri aane ki khabar
Aaqa raat guzarne waali hai

Deta hai deewana dil se sada
Bas ek jhalak Mehboobe-Khuda
Singaar kiye baithi hai nazar
Aaqa raat guzarne waali hai

Aa kar meri shab ko chamka de
Mera tan man dhan sab meheka dee
Ho jaye kahin na jaldi sehar
Ab raat guzarne waali hai

Nayya ke khevaiyya jaldi aa
Ae laaj rakhaiyya jaldi aa
Hum jaison ki kismat ban jaye sabr
Ab raat guzarne waali hai

Doori ye nahi seh paaunga
Tujhe dekhe bina mar jaaunga
Azmat ki bhi kar de subh amar
Ab raat guzarne waali hai

Na’at-Khwan:
Hazrat Azmat Raza Bhagalpuri