WhatsApp Join Naat Group

हक़ की पहचान है रजा़ वाले / Haq ki pehchaan hai Raza waale

बजेगा हश्र तक डंका इमाम अहमद रजा़ ख़ाॅं का
जहां में बोल है बाला इमाम अहमद रजा़ खाँ का
वो: अपने वक्त़ के बेशक इमामे-बु-हनीफा़ थे
कोई सानी नहीं मिलता इमाम अहमद रजा़ खाँ का

कोई है हुज्जतुल-इस्लाम, कोई है मुफ्ती-ए-आ़ज़म
कोई ताजुश्शरिअ़ह है, कोई मुफ़स्सिरे-आ़ज़म
ये ऊँचा खा़नदाँ किसका इमाम अहमद रजा़ खाँ का

कोई सदरुश्शरिअ़ह है, कोई सदरुल-अफ़ाज़िल है
ये फैज़ाने नज़र किसका इमाम अहमद रजा़ खाँ का

जो कु़दसी हश्र में पूछेंगे मुझसे किसका पैरो कार
कहूँगा करके सर ऊँचा इमाम अहमद रजा़ खाँ का

साहिबे-शान है रजा़ वाले
हक़ की पहचान है रजा़ वाले,

ख़ूब दरसे-हदीस देते हैं
कौ़ले-असहाब भी सुनाते हैं
अहले-क़ुरआन हैं रजा़ वाले
हक़ की पहचान है रजा़ वाले

सारे दरबारने-गौ़से आज़म हैं
ख़ादिमाने-रसूले-अकरम हैं
या’नी सुल्तान हैं रजा़ वाले
हक़ की पहचान हैं रजा़ वाले

कुफ्रो-शर की जमाअ़तों के लिए
प्यारे आका़ के दुश्मनों के लिए
एक तूफान हैं रजा़ वाले
हक़ की पहचान हैं रजा़ वाले

नामे‌-असहाबो-‘नामे-आका़ पर
नामे-ख़्वाजा पे, नामें-दाता पर
दिल से क़ुर्बान हैं रजा़ वाले
हक़ की पहचान हैं रजा़ वाले

कोई अख़्तर है, कोई ख़ादिम है
कोई अ़त्तार है, कोई का़सिम है
यानी जी़शान हैं रजा़ वाले
हक़ की पहचान है रजा़ वाले

बेवफाई कभी नहीं करते
ज़ुल्म का साथ भी नहीं देते
ऐसे इंसान है रजा़ वाले
हक़ की पहचान हैं रजा़ वाले

कह दो राग़िब ज़माने वालों से
अहले-हक़ को सताने वालों से
अहले-ईमान है रजा़ वाले
हक़ की पहचान हैं रजा़ वाले

इस्लामी-शायर:
हज़रत मिस्बाह उल हक रागि़ब

ना’त-ख़्वां:
ह़ज़रत ताहिर क़ादरी
ह़ज़रत अहसन क़ादरी

Bajega Hashr tak danka Imam Ahmad Raza Khan ka
Jahan mein bol hai baala Imam Ahmad Raza Khan ka
Woh apne waqt ke beshak Imame-Bu-Hanifa the
Koi saani nahin milta Imam Ahmad Raza Khan ka

Koi hai Hujjatul-Islam, koi hai Mufti-e-A’azam
Koi Tajushshariah hai, koi Mufassire-A’azam
Ye uncha khaandan kiska Imam Ahmad Raza Khan ka

Koi Sadrushsharia hai, koi Sadrul-Afazil hai
Ye faizaane-nazar kiska Imam Ahmad Raza Khan ka

Jo Qudsi Hashr mein puchhenGe mujhse kiska pero kaar
Kahunga karke sar uncha Imam Ahmad Raza Khan ka

Sahibe-shaan hai Raza waale
Haq ki pehchaan hai Raza waale,

Khoob darse-Hadees dete hain
Qaule-Asaahab bhi sunaate hain
Ahle-Quran hain Raza waale
Haq ki pehchaan hai Raza waale

Saare Darbarne-Gause-A’azam hain
Khadime-Rasoole-Akram hain
Yani Sultaan hain Raza Waale
Haq ki pehchaan hain Raza Waale

Kufro-Shar ki JamaAton ke liye
Pyare Aaqa ke dushmanon ke liye
Ek toofan hain Raza waale
Haq ki pehchaan hain Raza waale

Naame-Ashaabo-‘Naame-Aaqa par
Naame-Khwaja pe, Naame-Daata par
Dil se qurbaan hain Raza waale
Haq ki pehchaan hain Raza waale

Koi Akhtar hai, koi Khadim hai
Koi Attar hai, koi Qasim hai
Ya’ani Zishaan hain Raza waale
Haq ki pehchaan hain Raza waale

Bewafai kabhi nahi karte
Zulm ka saath bhi nahin dete
Aise insaan hain Raza waale
Haq ki pehchaan hain Raza waale

Keh do Raghib zamaane waalon se
Ahle-Haq ko sataane waalon se
Ahle-Iman hain Raza waale
Haq ki pehchaan hain Raza waale

Islami-Poet:
Hazrat Misbah Ul Haq Raghib

Na’at-Khwan:
Hazrat Tahir Qadri
Hazrat Ahsan Qadri