WhatsApp Join Naat Group

हम अ़ली के शैदा हैं और हुसैन वाले हैं | Ham Ali Ke Shaida Hain Aur Hussain Waale Hain By

फज़ले-ह़क़ तआ़ला से हम रसूल वाले हैं
इसलिए तो इज़्ज़त के हाथ में निवाले हैं

हम अ़ली के शैदा हैं और हुसैन वाले हैं
हमने बद-अकी़दों के पैर तोड़ डाले हैं

मौत तेरी गर्दन पर जिसने हाथ डाले हैं
शेर हैं वो: है़दर के फा़ति़मा के पाले हैं

उनके दर पे जाने को दिल बहुत तड़पता है
मेरे पाऊं में लेकिन मुफ़्लिसी के छाले हैं

दुश्मनों को आका़ का कैसे हो पता मालूम
गारे-सौर के मुंह पर मकड़ियों के जाले हैं

तू ने खुत्ब-ए-जै़नब क्या असर दिखाया था
मुल्के-शाम में अब तक सबके मुंह पे ताले हैं

कुफ्र तेरे घर वाले कैसे मुंह छुपाएंगे
मुस्त़फा़ की आमद के हर तरफ़ उजाले हैं

जिस मका़म पर असग़र जंग लड़ने आए थे
मौत को वहां अब भी जिंदगी के लाले हैं

ना’त-ख़्वां:
हज़रत जै़नुल आबिदीन

Fazle-Haq Ta’Ala se ham Rasool waale hain
Isliye to izzat ke haath mein niwaale hain

Ham Ali ke shaida hain aur Hussain waale hain
Hamne bad-aqeedo ke pair tod daale hain

Maut teri gardan par jisne haath daale hain
Sher hain woh Haidar ke Fatima ke paale hain

Unke dar pe jaane ko dil bahut tadapta hai
Mere paun mein lekin muflisi ke chaale hain

Dushmanon ko aaqa ka kaise ho pata maloom
Gaare-Saur ke muh par makdiyon ke jaale hain

Too ne khutb-e-Zainab kya asar dikhaaya tha
Mulke-Shaam mein ab tak sabke muh pe taale hain

Kufr tere ghar waale kaise muh chhupayenge
Mustafa ki aamad ke har taraf ujaale hain

Jis maqam par Asghar jang ladne aaye the
Maut ko wahan ab bhi zindagi ke laale hain

Na’At-Khwan:
Hazrat Zainul Abideen